Amazon par kam kaise kare in Pakistan 2023

Agar ap ko online idustry kay bary main pata ha. To ap ko har koi baat karta nazar aye ga amazon kay bare main. keu kay amazon ka pakistan main buhat ziada crze chal raha ha. Isi leya main nay ya article likha ha jis main ap ko main nay ya batay ha kay ap amazon par kam kaise kare. 

Amazon par kam kaise kare

Lain is say pehle main ways start karo jis say ap amazon say paisa kamaye. Ap ko mai ya batana chahta ho kay amazon kea ha. Keu kaya har koi amazon say paisa kamana chata ha lakin ya kisi ko nahi pata amazon kea ha. 

Isi leya ya main ap ko batana cahta ho. Amazon basically ek e-commerce platform ha jis par ap products buy karte ha. Jaisa kay pakistan main daraz ha. Isi tarah amzon international brand ha. Or buhat he kamyab platform ha ecommerce industry ka. 

Amazon par kam kaise kare

Amazon say paisa kamane kay buhat sary ways ha. Jin main say kuch main investment ha kisi main investment nahi ha. Isi leya ap ko main har ek way kay bare main batu ga. Jis say ap paisa kama sakta ha. Keu kay online har kam karne ka maqsad hota ha paisa kamana. 

To chalo ap ka ziada time waste nahi karte or jaldi say ways ki taraf chalte ha. Jo ap use kar sakta ha paisa kamanae kay leya. 

Sell Own products

Amazon jis waja say mori duniya main jana jata ha wo ha product selling or buying. Isi leya is main sab say pehla way ha apna products sell karna. Pakistan main isi cheez ko lay kar boom aya ha. Keu kay har koi chahta ha kay jaldi say kam seakh kar paisa kamaye. Lakin ap ya baat nahi jante.

Kay pakistan say kam karne main buhat ziada paisa lagta ha. Keu kay sab say pehle ap nay amazon seakhna ha us kay bad ap kam start kar sakta ho. Lakin agar ap hud amazon nahi seakhna chahta to ap ko koi ek banda hire karna pary ga. Jo amazon ko pori tarah janta ha kay amazon par kam kaisa karne ha.

Us kay bad ap nay products find karne a jo ap sell karn chahta ho. Jo sab say difficult part ha keu kay ap nay wo products find karne ha jis main koi be default ka chance na ho. Is main ap ka buhat ziada time lagy ga. Jab ap ko product mil jaye to us kay bad ap nay china say us products kay kam say kam 500 pieces banwanye ha.

Then us kay bad ap nay un products ko jis country main sell karwana ha. Amazon kay us warehouse main bejhna ha. Then apna store bana kay us ko sale karna start karna ha. 

Amazon Affiliate marketing 

Next jo sab say amazing way mujy lagta ha jis main ap ki koi be investment ziada nahi lagti. Wo ha amazon affiliate keu kay is main ap nay sirf amazon ka associates platform join karna ha. Us kay bad ap amazon par mujod har product sale karwa kay commission lay sakta ho. 

Ap nay sirf koi aisa way find karna ha jis say ap un products ko sale karwa sake. Agar ap janta ha to theak ha warna main ap ko bata dayta ho. Kin ways say ap products sale karwa sakta ha. Sab say pehla way ha Amazon blogging. Is main ap nay products kay reviews karne hota ha.

Or us kay bad ap nay sirf buy on amazon ka link lagana ha. Takay jab koi amazon say buy kary wo products ap kay link say to ap ko commission mil jaye. Isi tarah agar ap kay pass website banane ka paisa nahi. To ap social media pay page bana sakta ha. 

Dosra way ha jin main ap google par ya social media pr ads chala kar products sale kar sakta ha. Keu kay ya sab say fast way ha product sale karna ka. Jab koi be ap kay products ap kay link say buy kare ga to ap ko commission mily ga. Is tarah ap promote kar sakta ho.

Learn: How to start amazon affiliate marketing in pakistan

Publish Audiobooks or Ebooks

Next jo sab say best cheez ha us kay leya jis ka koi pehel he well establishes brand ha. Ya ap koi be social media influencer ho jaisa YouTuber, Tiktoker, Instagram influencer etc. Tab ap apny fans kay leya koi be ebooks ya audiobooks bana sakta ha. 

Keu kay ap kay fans ap ki banai gai book ko buy lazmi kara gay takay wo ap kay us content say faida utha saky. Isi leya ap apna audiobook ya koi be ebook bana sakta ho apni industry kar related ka kay us ko sale kar kay paisa kama saky.

Buha sary aisa influesors ha jo apni ebooks bana kay un ko sale karte ha. Takay paisa kama saky ya ek alag steam ban jaye ge ap ki paisa kamanye ke. Isi leya ap ko main ya kam suggest karo ga. Lakin agar ap famous nahi ho tab be ap books likh sakta ho. 

Lakin is main ap kisi be topic ki bajye famous logo kay bare main likhy kay wo kaisa kamyab hoye ha. Keu kay is tarah ap ki book sale hone kay buhat ziada chances ha. Lakin is ko agar next level lay kar jana ha to ap us famous logo kay interview lay kar books main convert kar sakta ho. 

Drop Shipping with Amazon 

Dropshipping pakistan main paisa kamane ka sab say best way ha amzaon say. Keu kay is main ap nay koi product nahi banana apna. Lakin ya way us kay leya ha jo ecommerce industry say paisa kamana chahta ha.

Lakin meri tarah agar ap ko ecommerce industry achi nahi lagti to ap is say door he rahy. Keu kay ya us bande ka kam ha jo koi products bana kay sale karna chahta ha. Ya ecommerce us kay leya ha jis ka already koi well establish business ha.

Ya well, establish na ho koi be product selling business ha. Or wo banda apny products ko worldwide sale karna chahta ha. To us kay leya sab say best amazon plateform ha. Lakin main ap ko batata ho kay dropshipping kea ha. Dropshipping hota ha apni website say order layna.

Or wo order amazon par place kar kay product deliver kar kay apni commission lay layna. Jaisa ek product ha wo amazon par 10$ ka ha. Us ko ap apni website par 15$ main lagye gay. Or jab ap ko order aye ga ap us ko amzaon say 10$ say lay gay. Or 5$ apna comssion rakh lay gay. 

Final Thought

Ya sab say best ways ha amazon say paisa kamane kay leya. In kay alawa be buhat sare ha lakin ya sab say ziada use hoty ha ways. Ab main ap ko batata ho kay apko kon kon se mistakes nahi karni. Jaisa kay sab say pehly ap ko kabi be wo products nahi sale karne.

Jin main ap ko ziada masla ho kharab hony, Totny ya jalny main. Isi leya wo products find karne ha jin main ya masla na aye. Dosri mistake ap nay kabi be without perfect knowldge ads chala kay products promote nahi karny.

Keu kay agar ads flop ho gay to ap kay paisa zaiya ho jaye gay. Ab last cheez agar ap kay pass buhat kam investment ha to ap ko affiliate blogging karni chahy. Keu kay us say ap buhat asani say products sale kar sakta ha. Jaisa main nay ke ha mere ha blogs jin main mai ya affiliate blogging karta ho.

Main umeed karta ho kay ap ko online pata chal gaya ho ga kay ap amazon say paisa kaise kama sakta ho. i hope ap ko ya article Amazon par kam kaise kare passand aya ho ga.

Thanks for reading
Regards,
DH Founder of moneysiren

5/5 - (1 vote)

Leave a Comment