Blogging se kaise paise kamaye pakistan mein in 2023

Blogging wo method hai jis se ap easily ghar baithe paisa kama sakte ho. Just blogging kay leya ap ko kuch steps ko follow karne ki zaroorat hai. Pakistan mein buhat sary log online blogging ki madad se paisa kama rahe hai.

Blogging se kaise paise kamaye

Or is method mein maze ki baat ap ko har waqat computer ya laptop kay samne baithne ki be zarrorat nahi. Just ap ko din mein 3 se 4 hours he daily hai bas. So agar ap be blogging karna chahte ho. To ajj kay is article mein ap ko main seakhow ga. 

Kay ap kis tarah blogging kar sakte ho, Blogging hota kya hai or ways kon kon se hain blogging se earning karne kay. 

Blogging se main khud buhat ziada earning kar raha ho. OR mere is waqar almost kafi blogs chal rahe hain. Jis kay sath sath main clients kay blogs ko be manage kar raha hoo Jo monthly basis par kafi achi earning nikal rahe hain. 

Blogging kya hai 

Blogging ki simple definition ya hai kay kisi be kisam ki information ko writing ki form main provide karna blogging kahlata hai. Blogging ek process hai jis ko karne kay leya ap ko kuch skills seakhni ho gi. 

Jo hain SEO, Article writing, and Website development. Ya 3 skills ap ko seakhni pary gi. Is mein ap seo or article writing ko detail main seakho? Lakin website development koi itni ziada zaroori nahi hai. Agar ap ko is ka basic be a jaye ga to ap ka kam chal jaye ga.

Lakin seo or article writing hai zaroori hai. Keu kay article writing se ap acha content likho gay. Or seo se wo content logo tak puhchow gay. 

Blogging kaisa Start kare 

Jaisa kay main nay batya hai kay blogging ek process hai. Is kay leya ap ko ek blog ki zaroorat hai. Blog ek tarah ki website hai, jis par ap apna content daily base par publish karte ho. 

Blogging kaisa Start karni hai

Blog banana koi be muskil kam nahi, Ap ko main kuch steps batata ho ap un ko follow karo. Jis se ap ka apna blog ban jaye ga. 

1. Niche Find karna  

Niche hota ha ap kay blog ka topic jis kay around ap apna content likhtay hain. Hazaro niches hai ap kisi par be content likh sakte hain. Lakin ap ko mein recommend karo ga kay niche ap wo select karo. Jis mein ap ko information ho. 


Keu kay agar ap nay wo niche select kar le jis mein ap ko information nahi. To ap kabi be quality ka content create nahi kar sakte. Keu kay Content creation mein personal experience buhat ziada matter karta hai. 

Is leya agar ap aise niche select karo gay jis mein ap ko khud knowledge or information hai. Tab ap ka content buhat he quality ka ho ga.  

Niche kaise select kare

Niche selection buhat he easy process hai. Just ap nay ek copy or pencil layni hai. Or wo topics or cheezay likhni hai jis mein ap ko information ho ya wo ap ko passand ho. Us kay bad ap ka agla kam ho ga. 

Un niches ko google par research karna, or check karna kay ap ki niche main demand kitni hai. Or kya log ap ki niche kay around topic wagira search kar rahe hain. Agar ap ko koi aise niche mil jati hai. 

Jis ko log seach kar rahe hai, Then ap ko 50% kam ho gya. Us kay bad ap ka agla kam hai kay un niche kay around earning potential deakhna. Ap deakho kya ap ki niche kay around products available hain jin ki ap affiliate marketing kar sakete ho. 

Keu kay affiliate marketing se ap buhat he ziada earning karte ho. Buhat sary blog aisa hai jo sirf affiliate marketing se he earning kar rahe hain. Product kay sath sath ap ya check kar lo kay ap ki niche par CPC kya hai. Ya sari cheezay ap Ahref kay free tool se check kar sakte ho. 

30 Best niches for blogging in Pakistan

2. Blog kay leya name select karna 

Name ap kay blog ka sab kuch hai, Main nay buhat sary blogs deakhy hain. Jin kay name koi ache khase nahi hote. Or buhat sary log name select karne main galti karne hai. Ap ko main kuch tips daita hon. 

Jin ki madad se ap buhat acha name select kar sakte ho. Ap ki website ka name simple or easy to remember ho. Basically name jo hote hain wo teen tarah kay hote hain. 

  • Branded Name
  • PMD ( Partial Match Domain )
  • EMD ( Exect Match Domain )

Branded Name

Branded name koi be random name hota hai. Jis name ka itself koi pehchan nahi hoti na us ka koi be matlab hota hain. Lakin jab ya kisi be niche kay sath chorta hain. To wo name us niche ki waja se pehchana jata hai. 

Jaisa Neil Patel. Facebook, Google, and YouTube. Agar ap nay braided name rakhna hai to sab se best name ap ka apna ho sakta hai. Agar ap kay apne name par domain avaible hai. To ap apne name koi use kar kay. 

Lakin agar ap ka apna name availble nahi hai to ap is ki jagha  koi be name use kar sakte ho. Wo crackter name be ho sakta hai. Ap ka apna business name be ho sakta ho. Inshort branded name main ap ki apni choice hai. AP kon sa name select karte hain. 

PMD ( Partial Match Domain ) 

Partial match domains wo hote hain jis se ap ko website ka name se he pata chal jata hai. Kay ap ki website ki niche kya hai. Jaisa meri website ka name hai moneysiren, Jis kay name se ya judge hota hai. Kay ya website money kay related content produce karti ho gi. 

Is tarah ap be agar rakhna chahe to partial match domain rakh sakte hai. Or is domain ka ek faida hai kay ya domain easily rank karte hain google par. Partial match domain mostly 2 words domain hote hain. Jin mein ek word ap ki niche ka or dosra word random hota hai. 

EMD ( Exect Match Domain )

Exect match domain wo hoti hain jis domains name mein keyword ko use kea jata hai. Mostly blogger one page ya phir event site banane kay leya EMD domains layte hain. Keu kay EMD domains buhat jaldi rank hoti hain. 

Agar ap kay pass EMD domains hai to ap ki website within 3 month rank ho sakti hai. Lakin EMD domain main ek masla hota hai. Kay google kabi be is website ko band kar sakta ha. Is leya ap EMD domain ko lay kar long term kay leya blog nahi run kar sakte. 

Ya 3 names hain jin mein se koi be name ap select kar sakte ho. Lakin apko mein ek cheez recommend karo ga kay ap nay agar long term blog ko lay karna chalna hai. Ya phir koi be aisa blog chahte ho jis ko brand banana to branded name use karo. 

Branded domain se ap ka blog buhat strong brand bane ga. Lakin ya domain rank karne main at least 7-month tak be lay sakta hai. So agar ap ko jaldi rank chahe to PMD domain ap use kar sakte hain. EMD as a newbie ap ko mein recommend nahi karo ga. 

3. Domain and Hosting Buy Karna 

Domain name selects karne kay bad ap ka agla kam hai domain or hosting ko buy karna. Domain hota ha ap ki website ka name with extension. Or hosting hoti hai ap ki website ka server. Jis par ap ki website ka data para hota hai. 

Buhat sari companies hai market me jis ko ap use kar sakte hain domain and hosting ko buy karne kay leya. Lakin ap ko mein 2 companies recommend karo ga. Jo ap ko buhat sasti hosting or domains date hain. 

Or is do hosting ko main pichle 4 saal se use kar raha ho. Jis mein ek hai namecheap and dosri hai hostinger..In dono hostings ko main buhat time se use kar raha ho. Lakin agar ap ko is kay alwa be koi be achi hosting providing company milti hai to ap us ko use kar sakte hain. 

4. Setup and customise site 

Domain and hosting buy karne kay bad ap ka agla kam hai us domain and hosting ko setup karna or site ban kay un ko customize karna. AB yaha par baat ati hai kay site kaisa banaye. Ap kay pass do option hain ya to ap apni site coding se banwa lo. 

Ya phir ap koi be CMS ( Content Management System ) ko use karo. Mere hisab se sab se asan cheez ap kay leya CMS hai. Or sab se acha CMS market main WordPress hai. Jis par ajj kay time main 45% pury internet ki sites chal rahi hain. 

Is leya ap ko main wordpress suggest karo ga. Keu kay wordpress buhat he user-friendly hai jis ki madad ap apni websites ko easily setup kar kay manage kar sakte hai. Or wordpress ka option taqreeban har hosting main is time moujod hai. 

So ap koi be hosting buy kare us main ap apni wordpress site easily bana sakte ho. Website banne kay bad ap nay just us ko customize karna hai. Jis se ap ki ek khubsorat site ready ho jaye ge. 

5. SEO & Content Writing 

Website jab ap ki ban jaye to us kay bad ap ka agla kam ho ga us ki seo karna or content writing karna. Yaha par ap ka sab se ziada demagh lage ga. Or ya 2 sab se zaroori skills hain blogging main. 

SEO or content writing kisi se be karwa sakte ho. Lakin agar ap khud seakh lo to ap kay leya sab se behtar ho jey ga. Keu kay blogging mein outsource karne se behtar hai kay ap apna kam khud karo. 

Jaisa he ap ki website ban jaye ge us kay bad ap nay apni site kay leya keyword research karni hai. OR keyword research kay bad sab se pehle ap nay apni site ki onpage seo karni hai. Or us kay bad jo ap nay keywords nikale hain. 

Us par ap nay articles likhne hain. Article jab ap kay ho jaye to ap nay un ki basic seo wagira kar kay un ko apni site par upload kar dayna hai. 

Or yahi process ap repeat kare gay seo and article writing. Actuall main yahi blogging hai. 

Blogging se kaise paise kamaye

Blog jab ap ka setup ho jaye to ap us kay bad buhat sary ways ko use kar kay blogging se earning kar sakte hain. Ap kay sath main kuch ways ko share karta hon jis se mostly har banda paisa kama raha hai apne blog ki madad se. 

Blog se paisa kaisa kamaye

1. Ads by Ad Network 

Sab se pehla option jo har new blogger use karta hain wo hai ads network. Ads network ki madad se apni website par ads chala sakte hain. Jis se ap ki website se ap ki earning start hoti hai. Sab se popular ad network google adsence hai. 

Lakin agar ap nay adsence ko use kar kay ads run karne hain. To ap ko apni website par us ki approval chahe. Jab ap ki website ready ho jaye us par ap nay acha khasa content likh leya ho. 

Tab ap nay us par approval laini hai, Approval kay bad ap ki website par ads run hon gay. Lakin ab in time 2023 mein adsence se approval layna asan nahi hai. Ap ko buhat mehnat karni pary ge approval layny kay leya. 

Lakin google adsence he sirf ek plateform nahi hai. Jis ko ap use karte ho, is kay alwa be buhat sary platform hai jaisa ezoic, media wine, adsterra. Agar ap ko google approval na day to ap in websites ko use kar sakte ho.

2. Affiliate Marketing 

Ads kay bad agla way affiliate marketing hai. Affiliate marketing hota hai kisi be bande ka product commission base par promote karna. Ap apni website se is product ko promote kar sakte ho. Jis se ap buhat achi earning kar sakte ho. 

Mostly jo be website hai us ki 70% earning affiliate marketing se hoti hai. Is leya ap ko mein second method yahi recommend karo ga. Buhat sary affiliate marketing kay platform mojod hai jin ko use kar kay ap buhat achi khasi earning kar sakti hain. 

Jaisa Clickbank, CJ, jvzoo, maxbounty, amazon associates, eBay affiliate, daraz affiliate marketing, impact, and warrior plus. 

In sab platform mein se ap nay ek pick karna hai, apni niche ki base par. Us kay bad ap nay us par signup karna hai. Or woha se products ko lay kar promote karna hai. 

3. Sponsorship & Ads Placement 

Ya method ap tab use karte ho jab ap ki website ki buhat achi khasi branding ho jaye. Or ap kay blog par daily base par achy kase views wagira ate hon. Tab log ap ko pay kare gay ap kay blog par ads wagira lagane kay leya. 

Jaisa Google adsence ko ap use karte hain apne blog par ads run karne kay leya. Yaha par ap nay apne kisi be ad network ko use nahi karna. Just directly ap ko log mile gay jo ap kay blog par apne ads run kare gay. 

4. Backlinks 

Last method jo is list ka hai wo hai backlinks. Ab backlinks hote hain apni website se kisi be dosri website ko link dayna ya phir apni website par kisi dosri website se link layna. Agar ap ki website ki authority achi hai. 

To buhat sary log ap ko approch kare gay kay ap un ko link day. Jis kay badle mein ap un se ache khase paisa charge kar sakte hain. Or aisa buhat sari websites kar be rahi hain. Jo apni earning ka kuch percentage backlink selling se be nikal rahi hain. 

Conclusion 

Ya, just kuch method mein nay ap kay sath share kea hain. In kay alwa be ap buhat sary methods ko use kar sakte hain. Jin ki madad se ap achi khasi earning kar sakte hain. Just ap blogging start karo. 


Ap ki earning achi khasi blogging se ho jaye ge. Jaisa kay mein kar kara ho apne blogs se ap be meri tarah ek achi khasi earning kar sakte hain. I hope ap ko pata chal gya ho ga kay ap kaisa blogging se paisa kama sakte hain. 

Thanks for reading.
Regards,
DH Founder of MoneySiren

Share this Post

Rate this post

Leave a Comment