Table of Contents
Daily paisa kamane kay leya ap ko buhat sari information or knowledge honi chahiya. Ya phir ap ko acha khasa experiance hona chahe kisi be feild mein. Keu kay agar ap kaho kay, without experaince and any skill ap daily paisa kamow aisa nahi ho sakta.

Lakin phir be mein koshish karo ga kay aisa ways ap ko batu. Jis par ap agar mehnat karo to ap achy paisa kama sakte ho daily base par. Lakin in mein say kuch aisa ways ho gay jis mein ap begair experience kay be kama sakte ho.
Daily paisa kamane ka tarika
Main nay khud buhat sary ways try kea hai. or un mein say kuch ways ko use kar kay main acha paisa kama raha ho. Jis mein ziada tar ways internet kay related hain. Keu kay mere pass aise skills hai jin ki zaroorat hai internet par.
Is leya mein un ways ko use kar kay easily earn kar layta ho. Lakin wo sary ways aise hain, jin kay leya ap ko kuch na kuch skills seakhni parti hai. Ya phir koi na koi investment karni parti hai. Or sab se bari cheez us par regular kam karna parta hai.
Tab ap ja kay us method se acha khasa daily base par paisa kamate ho. Lakin is article mein ap kay sath aise method share karo ga. Jin se ap acha paisa kama sakte ho kam mehnat kay sath. or maze ki cheez jaisa jaisa ap in methods mein experience gain karte jow gay. Ap ziada paisa kamate jow gay.
Ab shuru karte hain un ways ko discuss karna.
1. Apni Shop
Sab se best tarika hai apni shop, jis se ap daily base par paisa kama sakte ho. Lakin shop apni ap easily start nahi kar sakte ho. Ap ko apni shop kay leya investment chahaye ho ge. Or us kay sath sath ap nay kuch cheezay deakhi hai.
Jaisa ap nay shop kis cheez ki bananai hai, Or ap nay kitni bari shop banani hai. Keu kay Jab tak ap ya cheezay define nahi karo gay. Tab tak ap ko ya nahi pata chale ga kay ap ki investment kitni lage ge.
Agar ap ko experience hai shop par kam karne ka. Tab to ap jitni marzi investment karo. Keu kay ap apna business chala he lo gay.
Lakin agar apko koi be experiance nahi hai, To ap ko mein sugguest karo gay kay ap business kam paisa se start karo. Keu kaya agar ap ka business nahi chala to ap ko loss nahi ho ga. Just ap ka pori investment se kam he loss ho ga.
Lakin agar ap nay sara paisa laga deya to again start karne kay leya ap kay pass koi be cheez nahi ho ge.
2. Stock Trading
Shop kay bad jo next option hai wo hai stock trading. Sab se pehle baat karte hain stocks kya hote hain. Short zuban mein smajh lay kisi be company ka wo hisa jo buy koi be kar sakta hai us ko stock bol sakte hain.
Ab ya stocks ap kisi be stock market se buy kar sakte ho. Stock market hota haa ek tarah ka market place. Jaha par ap public company kay stocks buy or sale karta ho. I hope ap ko smajh a gai ho ge.
Ab baat karte hain kay stock trading hota kya. Stock trading mein ap kisi be public company kay shares short term kay leya buy karte ho. OR jab ap ko profit hota ha ap sale kar dayte ho. Trading se ap daily base par paisa kama sakte ho.
Lakin is kay leya ap ko buhat ziada knolwgde gain karni pare gay. Or is kay sath sath ap ko buhat sari skills seakhi pary ge. Keu kay trading mein sirf earning nahi hai nuksaan be hai. To enter hone se pehle ap ko sekahna ho ga. Keu kay mujy 3 saal ka experiance hai. Is leya pa ko mein apne experiance se bata raha hon.
Buhat sari books hain jin ko par kay easily start kar sakte ho. Or us kay sath sath ap ko google or youtube par be buhat sara content mil jaye ga. Jis ki madad se ap easily share trading seakh kay start kar sakte ho.
3. Digital Products
Next method hai digital products. Products do tarah kay hote hain ek physical products and secound digital products. Physical productts wo hote hain, Jin ko ap hath laga sakte ho. Or Digital products wo hote hain jo internet par digital form main pary hote hain.
Jin ko ap hath nahi laga sakte, Ya kuch be ho sakta hain. Jaisa koi softwere, Online courses, SAAS service, etc. Is method se ap daily base par hazaro kama sakte ho. Lakin us kay leya ap ko internet ki achi knowldge honi chahe.
Or sath mein kuch skills honi chahe jaisa programming or marketing. Keu kay agar ap ko ya cheezay ati hain to ap easily apna digital product bana sakte ho. Agar ap ko programming ki knowledge hai to ap kay pass buhat sary options hain.
Ap wordpress ka theme bana sakte ho, Tool website bana sakte ho. Ya phir ap ko jo be skill ata hai ap us par ek online course bana kay sale kar sakte ho. Or jab ap ka apna digital product ban jaye to us kay bad agla step hai us ki marketing karna.
Jo ap nay ziada nahi karni just ap nay start mein karni hai. Or apne product ko famous karwana hai. Phir jab ap ka product famous ho jaye to ap ko daily base par automatic sale ati rahe ge. Jis se ap daily base par earning kar sakte ho.
4. Affiliate marketing
Affiliate marketing hota hai kisi be bande kay products ko commission base par sale karna. Jis se ap easily daily base par earning kar sakte ho. Main khud is method se daily base par earning kar raha ho.
Agar ap nay affiliate marketing shuru karni hai, To ap nay sab se pehle ek Affiliate network ko join karna pary ga. Jaha par ap ko buhat ziada advertisers mil jaye ga. Jin kay products ko sale kar kay ap achi khasi income kar sakte ho.
Buhat sary affiliate marketing kay platforms hain jaisa.
Is sab mein se ap koi be plateform ko join kar sakte ho. Jis se ap apni affiliate marketing ki journey ko start kar sakte ho. Plateform join karne kay bad ap nay sirf ek method find karna hai apne leya. Jis ki madad se ap apne affiliate products ko sale karwa sako.
Jaisa mein use karta ho bogging ko. Jis kay through mein apne products ko sale karta hon. Or daily base par achi earning karta ho. AP ko YouTube par buhat sary YouTubers mil jaye gay, jo ap ko affiliate marketing seakha day gay.
Conclusion
Ya kuch methods hain jin ki madad se ap daily paisa kama sakte ho. Lakin in method se ap start mein kuch be nahi kamow gay agar ap ko koi be experience nahi hai. Lakin jaisa jaisa apko experiance ata jaye ga.
Ap acha paisa kamate jow gay, Or ek time aye ga ap hazaro kamow gay buhat asani se. Lakin us waqat kay leya ap ko seakhna pary ga, or khud ko grow karna pary ga. Ab mein is article ko wrap up karne laga ho.
Mujy ummed hai kay ap ko ways mil gay hon gay jis ko use kar kay ap daily base par earning kar sakte ho.
Thanks for reading.
Regards,
DH Founder of Moneysiren
Share this Post

My name is DH and I am from Pakistan. I have 5 years of experience in digital marketing and SEO. I have done similar types of work on my blog and also for other clients. Now I make Money siren. A blog Where you learn how to make money online.