Table of Contents
Daraz se paisa kamane hai to ap ko kuch ways or techniques ko seakhna pary ga. Jo ajj kay is article mein ap kay sath mein share karo ga. Kay ap kaisa daraz se paisa kama saktay ho. Or kon kon say techniques ko use kar kay apni earning ko maximize karo gay.

Basically Daraz ek e-commerce platform hai jis se ap online products ko buy karte ho. Lakin ap daraz ko use kar kay us say earning be kar sakta ho. Us kay leya ap ko mein kuch ways batu ga.
1. Daraz Par product sale kar kay
Jaisa kay mein nay apko batya kay daraz ek ecommerce plateform hai. Jis se ap products ko buy karte ho. Lakin jo product ap buy karte ho un ko koi na koi banda to sale kar raha hota hai. us i bande ki tarah ap be daraz par product sale kar kay earning kar saktay ho.
Lakin us kay leya sab se pehle ap ko kuch steps ko follow karna hai. Or kuch cheezo ko mind mein rakhna hai. Sab se pehli ya cheez kay ap kay pass ek acha khasa paisa ho chahy.
Keu kay ap nay daraz par apne products sale karne hai. Is leya ap nay un ko outsource karna hai. To jab ap out source karte hain. To ap kay pass acha khasa paisa hona chahy. Kay ap apne products ko khus banwa sako.
Ya kisi kay products ko buy kar sako wholesale par. Paisa sab say zarrori cheez hai e commece industruy mein any kay leya. Baqi jo cheezay hain wo ahisa ahista ap kay sath share karo ga.
Product Hunting [ Product find karna ]
Agar ap nay kam karna hai daraz par to sab se pehle ap nay products ko find karna hai. Products buhat kisam kay hotay hai. Ap nay apne hisab se deakhna hai kay ap kis tarah kay products ko sale karna hai.
Keu kay buhat sary factors ko ap nay deakhna hota hai. Us kay bad ap nay ek product select karna hai. AP ko ek chota sa factor batata dayta ho kay products aisa select karna. Kay mosam ka us par koi be asar na ho.
Us kay alawa wo tootnay wali cheez na ho. Keu kay agar ap is tarah ki cheez ko sale kar kay to ap kay loss kay chances kam ho gay. Is kay alawa be buhat sary factors ko ap nay note karna hai.
Product Source karwana
Product out source karwana agla step hai is mein ap nay jo be product select kea hai. Us ko outsource karwana hota hai. Lakin us mein ap kay pass 2 option hai ek ya kay ap us product ko china mein kahi agar ban raha hai.
To ap woha se mangwa saktay hain. Lakin agar wo product available nahi hai china mein to. Ap ko apna product khud banwana pary ga.
Wo apne pakistan mein be banwa saktay ho. Ya phir ap china se be banwa saktay ho. Lakin ap nay har cheez ko deakhna hai. Aisa na ho kay ap kay paisa waste ho jaye. Keu kay start mein ap nay apne paisa bachane hotay hain.
Product outsources karne kay bad apnay apne products ki high-quality images be layni hota hai. Keu kay images achi ho to chances ziada hotay hai sales kay.
Setup Daraz seller account
Ab ap ka kama hai apna saller account banan daraz par. Is kay leya ap daraz ki website par jow gay or woha par apna account signup karo gay.
Just ap ko kuch documents day nay hotay hai. OR ap ka account daraz par seller kay tor par register ho jata hai. Agar ap nay detail deakhni hai to ap youtube par koi be signup ki video deakh saktay hain.
Sell Your Product
Jab ap ka account ban jaye us kay bad ap ka agla or last step hai apne product ko sale karna. Is step mein ap apne product ko list karo gay daraz par. Jis mein ap apne product ka title add karo gay.
Us kay sath description or apny product ki high-quality images upload karo ga. Jab ap ka product add ho jaye us kay sath ap apne product ki ek achi se price set karo gay. Or apna product live kar do gay.
Us kay bad jab ap ko order aye ga to ap us ko parcel karwa do gay. Us kay be agly methods hai kay ap khud parcel karwao gay. Ya daraz kare ga, wo ap par hai kay ap kaisa karte ho.
2. Affiliate Marketing Karna
Ab baat karte hai dosray method ki ho hai affiliate marketing ki. Ap Daraz kay platform par asa affiliate marketing expert signup kar saktay ho or daraz par mojod products ko promote kar kay earning kar saktay ho.
Affiliate marketing hota hai kisi dosray kay products ko commission base par promote karna. Ab ap is cheez ko buhat agly lay kar ja saktay ho or affiliate say buhat ziada earning kar saktay ho.
Just ap nay ways find karnay hai apnay products ko promote karne ka.
Jaisa kay ap daraz kay products ko blogging kay through promote kar saktay ho. Ap nay is way mein karna kea hai kay products kay related ap reviews article likho gay. Or us mein daraz kay affiliate links lagow gay.
Jab ap kay un products ko koi be buy kare ga to apko commission mile ga. Isi tarah ap youtibe ko use kar saktay ho or woha par ap products kay reviews karo gay. Or video description mein ap links lagow gay. Jab koi be un links kay through products buy kare ga. Ap earning karo gay.
FAQS
1. Hum daraz se kitna paisa kama saktay hai.
Mein ap ko yaha par koi be ek khas number nahi bata sakta. Keu kay ya depend karta hai product par jo ap sale kar rahy ho. Wo kitna demanding hai or ap kitnay mein sale kar rahy ho. Lakin ap estimate $1000 se $10,000 easily kam saktay ho.
2. Daraz par seller account free hai ya paid
Daraz par bilkul free mein account bana saktay ho. Lakin daraz ap kay sale say commitison layta hain.
3. Kon kon se documents chahy
Agar ap Indiviual kay tor par kam karna chahtay ho ap ko ya docoments chahy.
- CNIC (front and back image) [PK, ID for other ventures]
- Account Details
- Copy of a Blank Cheque
Agar ap nay company kay roe par kam karna hai to ap ko ya document ki zarrorat ha.
- NTN or National Taxation Number
- NTN Certificate image
- Account details of a registered business
- Copy of a Blank Cheque
4. Products kaisa deliver kary gay
Ap nay daraz kay delivery network Dex ya kisi be courier service kay sath partner karna hota hai. Jin kay zarria ap apne products ko deliver karte ho.
5. Hamay Payments kaisa mile ge.
Ap apne daraz kay seller account mein apna bank account lagow gay. Jis se ap ko daraz ap kay sales ki payment send kar day ga.
Conclusion
Ya do sab se best ways hain daraz se earning karne mein. Agar ap kay pass paisa hai to ap daraz par products sale karo. Lakin agar ap kay pass paisa nahi hai to ap affiliate marketing ko kar saktay ho.
Or affiliate se paisa kama kay apne products sale kar saktate ho. Agar ap start mein affilaite marketing karte ho. To ap products promote karna seakh jow gay. Phir jab ap apne products add kar gay. To ap us ko easily sale kar lo gay.
Mein umeed karta ho kay ap ko article passand aya ho ga. Ab mein is article ko wrap up karta ho.
Thanks for reading.
Regards.
DH Founder of MoneySiren
Must Read: Online paise kamane ka tarika
Share with your friends

My name is DH and I am from Pakistan. I have 5 years of experience in digital marketing and SEO. I have done similar types of work on my blog and also for other clients. Now I make Money siren. A blog Where you learn how to make money online.