Table of Contents
Agar ap be meri tarah facebook se paisa kamana chahty ho. To is article mein ap kay sath kuch ways share karo ga. Jin ki madad se ap facebook se paisa kama sakta ho.

Main nay Facebook par kam sirf mazakh mein shuru kea tha. Lakin is time mein apni earning ka almost 30% Facebook se earn kar raha ho. Mere Facebook par mukhtalif categories mein pages hain. Jin se mein kafi achi earning genrate kar layta ho.
Agar ap ka be mood hai facebook par kam kare ka. To ap is article se ya smajh lo gay kay ap earning kaisa karo gay.
Facebook se paisa kamane kay ways
- Facebook Marketplace
- Facebook Ads
- Facebook Live
- Affiliate Marketing
- Sponsored posts
- Influencer marketing / Content Creation
Ya kuch ways hai jo ap kay sath mein share karo ga Is article mein,. Ab mein is sary tariko ko detail mein cover karta hon. Takay ap ko smajh a jaye kay ya sab ways hain kya. Or in ki help se ap paisa kaisa kamo gay.
Must Read: Ghar baithe paisa kaisa kamye
Facebook Marketplace
Sab se pehli cheez facebook market place hain. Jin ko ap use kar kay online earning kar sakta ho facebook se. Facebook market place ek store type market hai. Jaha par ap apne produts ko list kar kay sale kar sakta ho.
Ye method basically un logo kay leya behtar hai. Jin ki koi apni local shop hai, ya phir us ka apna koi business ha physical products ka.
Agar ap be in se ho to ap abi Facebook marketplace par ayo. Or apne products ko list kar kay sale karna start kar sakta ho.
Lakin yaha par jo baat ka ap nay dehan rakhna hai. Wo ya hain kay Facebook marketplace par ap sirf cheezay sale karo gay direct customers ko. Facebook marketplace ap ki kisi be transaction ka zimadar nahi hai.
To is leya ap nay apni transaction ka khud khiyal rakhna hai. Ap koi be process Bank, Easypaisa, jazzcash koi be use kar sakta hai.
Facebook Ads
Ya jo method hai ap is ko use kar kay ap buhat ziada paisa kama saktay hai. Is method mein ap facbook par ads chahlte ho or koi be cheez promote karte ho. Ab is method mein ap kay pass koi na koi service honi chahy.
Jis ko ap facebook ads kay through promote karo gay. Ab yaha par products ap kay apne be ho sakata hain. Ya phir kisi or bande kay ap sale kar sakta ho.
Lakin is ka ek process hota hain. Jo mein ap kay sath share kar dayta hon. Sab say pehle step hota hain ap ka ek page. Facebook par ap nay ek page banana hain kisi be catagory ka. Jis category mein ap content bano gay.
Us kay bad ap nay apne page par kuch content upload karna hai. Apni niche kay related, Let’s suppose mein page banata ho kapro kay related. To start mein me us par kuch images upload karo ga apne products kay related.
Phir us kay bad mein apne page par ads chala don ga. Jis kay through mera product sale hota rahy ga. Or mein earning genrate karo ga.
Facebook live
Facebook live se ap paisa kama sakta ho. Agar ap ka Facebook page eligible ho. Jis kay leya ap ko 5,000 followers chahy. OR us kay sath ap kay page par 60,000 minutes watch time hona chahy last 60 days mein.
Agar ap kay ya dono requirements pori hain. To ap eligible ho in-stream ads kay leya. Is mein ap jab live ayo gay, To ap ki live mein ads chaltay hain. Jis se ap ko paisa milte hain.
In-stream ads kay bad dosra option ap kay pass fan subscription ka hain. Agar ap kay page par 10,000 followers complete hain. To ap in feature kay leya eligible hain. Is mein ap kay page ko logo subscribe karte hain.
Jis say ap nay un ko koi special perks, content wagira dayna hota hain. Us kay sath sath in logo ko buhat sary badges milte hain.
Affiliate Marketing
Is method se buhat sary log pakistan mein buhat ziada paisa kama rahy hain. Affiliate marketing hota hai kisi be company ya person kay products ko commission base par sale karna. Ab yaha par ap ko mein nay Facebook ads ek method batya hai.
Agar ap us method kay sath is method ko combine kar day. To ap buhat ziada paisa kama sakta ho. Keu kay affiliate marketing mein ap ka apna product nahi hota. Ap kisi ka product sale karate ho. Or market mein aisa aisa products hain. Jin ko ap buhat asani say sale kar sakta ho.
Ap nay just kuch steps ko follow karna hain. Jo ap kay sath mein share karne laga hon. Sab se pehle step hai product selection. Buhat sary types kay products ap ko mil jaye gay.
Lakin main 2 he types ka products hotay hain:
- Physical Products
- Digital Products
Physical products
Physical products wo hotay hain, jin ko ap hath laga sakta ho. Jaisa laptop, smartphone, PC, etc. Ab is tarah kay jo products hotay hain. Is ko banana ki cost hoti hain. Is leya in products par ap ko commision ziada nahi milte.
Buhat sary platforms hain jis ko ap use kar kay physical products ki affiliate marketing kar sakta ho. Jaisa Amazon affiliate, daraz affiliate. Just ap nay signup karna hain or approval kay bad products ko sale karna ha.
Digital Products
Digital products wo hotay hain jis ko ap sirf deakh sakta ho, Ya use kar saktay ho. Hath nahi laga sakta. Jaisa Courses, tools wagira. Ab in products ko banane mein one time cost ati hai. Is leya is type kay products apko ek ek sale par buhat ziada commistion daytay hain.
For example blog kay through mein ziada digital products ki promotion karta rehta hon. Jaisa domain hosting, SEO Tools, wagira. Keu kay mera blog make money kay related ha. Is leya in jaisa products ko main easily promote kar layta hon.
Or is kay alwa mere Facebook pages be hain. Jaha par mein affiliate products ko promote karta rehta hon.
Ab ap ko smajh a gai ho ge, kay kis type kay products ko select karna. US kay ap nay just us product kay around content bana kay free mein promote karn ha. YA phir us product ko ads se promote karwa kay earning karni ha.
Sponsored posts
AB ay jo method ha is kay leya ap ka jo page hai. Wo ek acha khasa bara page hona chahy. Keu kay is method mein log ap kay pass aye gay or ap ko bole gay. Hamary product ki promotion kar day.
Or hum se paisa lay lain. Ab ya jo paisa ap ko sponserd post se milta hain. Ap kay followers ko engagement kay hisab se hain. Agar ap ka page buhat acha branded page hain kisi be category mein.
To ap ko buhat asani se log mil jaye gay sponsorships kay leya.
Content Marketing
Last method jo sab se best or organic method hain paisa kamane ka Facebook se. Is method se ap start mein kuch nahi kamow gay. Lakin jab ap ko is way se paisa ana start howa, to ap ko har month buhat ziada paisa aye ga.
Basically content hota hai kisi be type ki information logo ko kisi be formet mein dana. Jaisa blogs par writing ki form mein content banaya jata hain. Youtube par video ki form mein.
Isi tarah ap facebook par har kisam kay formet mein bana sakta ho. Writing be, image be, video be. Kuch be bana sakta ho. To is method mein hota kya hain kay ap kisi be topic kay related content banana start karte ho.
Jis se ap ki us niche mein branding hoti jati hai. Or ahista ahista ap ki organic audience build ho jati hain. Or jab ap ki audience build ho jati hai. To ap us se buhat ziada paisa kamo gay.
Keu kay ap kay pass log hain jin ka ap par trust ha. Jo ap ko sunte hain, or ap jo kahtay hain wo ap ki baat sunte hain. Is leya ap apne page se affiliate marketing be kar sakta ho, apne prducts be sale kar sakta ho. Or ap ko easily sponsored be mil jaye gay.
Conclusion
Ya Kuch ways hain jis se ap earring kar saktay ho facebook se. Ab ya ap par hai agar ap kay pass paisa hai. To ap facebook ads ko seakh kay us kay through kuch be sale kar kay earning kar sakta ho.
Lakin agar ap kay pass ziada paisa nahi hai. To ap apny page par apni audiance build karo. Jis se ap ko time lagy ga start mein ap kuch nahi kamo gay. Lakin bad mein ap buhat ziada paisa kamow gay.
Ab mein is article ko wrapup karta hon. Mein umeed karta hon kay ap ka question Facebook se paise kaise kamaye clear ho gya ho ga.
Thanks for reading.
Regards,
DH Founder of Moneysiren

My name is DH and I am from Pakistan. I have 5 years of experience in digital marketing and SEO. I have done similar types of work on my blog and also for other clients. Now I make Money siren. A blog Where you learn how to make money online.