Table of Contents
Freelancing sab say fast way ha online paisa kamane ka. Lakin un kay leya ap ko sab say pehle kuch cheezay seakhi pary ge. Is leya Ajj main ap ko ya batu ga kay ap freelancing start kaisa karo gay or sab say zaroori sawal ap ka be clear ho ga freelancing se paise kaise kamaye.

Freelancing hota ha apni skills to online sale kar paisa kamana. Freelancing karni ha to ap ko kuch skills seakhni pary ge. Tension nahi layni is article main ap ko main kuch skills be batata don ga jin ko ap seakh kar apna kam start kar sakta ho.
Freelancing kaise start kare
Freelancing start karni ha to ap ko kuch steps ko follow karna pary ga jo ap mai is article main cover karo ga.
Steps to start freelancing:
- Skills seekho
- Portfolio Build Karo
- Freelancing Karo
Ya main 3 steps ha jis ki madad say ap freelancing start kar sakta ho easily.
1. Skills Seekho

Sab say pehla step ha skills jo ap ko seekhni ha. Ab buhat sary log freelancing karna cahyty ha lakin un kay pass skills he nahi. Or jab un ko main kahta ho kay skills seekh li. To kahtay ha kay skills kon kon se seekhy.
To main ap ko kuch skills ka be batu ga lain us say pehle ap ko main ya batu gay. Ap skills kaisa pick karo gay apny leya.
High Demand skill research
Sab say pehela kay check karo gay abi kay time mai kon kon se skills sab say ziada high demanding skills ha. Jaisa 2022 main amazon kay related kafi boom aya tha.
To agar ap nay starting main he skills seekh kay kam start kea hota to ap buhat achy khasy paisa kama layty. Keu kay is time to ya skill high demanding ha lakin is main competition thora ziada ha.
To agar ap abi is par kam start karty ho to ap ko thora sa time lagy ga. Amazon-related skills ko use kar kay earning karny main.
Lakin is ka matlab ya nahi kay agy kisi cheez ka boom nahi aye ga. Jaisa abi AI ka buhat zida boom ha to ap karo kea kay AI kay related skills seekh sakty ha. Or un ko use kar kay achi khasi earning kar sakta ho. Specially agar ap AI coding seekh lo.
To ap ka future ha lakin ap ko zara jaldi karna pary ha. Agar ap nay AI feild main jana ha.
Skills wo select karo jis main ap ko maza aye
Kam ka kam or mazy ka maza agar ap apny mind set kay hisab say agar koi aise skills ko identify kar layty ho.
To ap khud ko next level lay jow gay. Keu kay agar ap kisi aisa skills main jaty ho jis main ap ko koi maza nahi ata to freelancing karne ka kea faida.
Or phir ap apny is skill set ko grow be nahi karo gay. To skills select karny say pehle ap ya cheez deakhna kay kea ya skill set ap nay mind say match karta ha.
Jaisa mujy maza ata ha business strategies or marketing main. To is leya main nay digital marketing ki skill ko master kea or specific digital marketing mai mujy seo main buhat maza ata ha.
Ya 2 main cheezay ha jis ka ap ko dehan rakhna ha skills select karny say pehle.
Portfolio Build Karo

Skills seekhny kay bad ap nay apny leya portfolio bnana ha. Portfolio hota ha kay ap kay kam ya kam ka idea. Jaisa kay agar ap nay online graphic designing ki services dayni ha.
To ap kay pass kuch designs honay chahy jis ko ap deaka sakho logo ko. keu kay begir ap ka pehla kam deakhy koi be ap ko kam nahi day gay.
Portfolio bnaan koi mushkil nahi ha ap ko kuch ways batata ho jis ko ap use kar sakta ho.
Facebook Groups
Facebook say ap ko buhat ziadda clients mil jaye gay. Agar ap newbie ho ap nay just abi apni skill seekhi ha to logo kay leya free main kam karo.
Keu kay ap say log karwa lay gay kam free main logo ko kam mil jaye ga ap ko portfolio mil jye ga.
Or zaroori nahi free main kam karo ap us say paisa be lay sakta ho. Lakin starting main ap ko ziada nahi milay gay.
Dosry Freelancer kay leya kam karo
Agar groups say ap ko clients nahi miltay to apny ird gird koi be freelancer find karo or us ko kam kar kay do kam paiso par.
Ya agar ap ko apny ird kird nahi milta to ap internet par search kar sakty ho. Ya phir apny local area mai jo shops ha ya jo be business setups ha un kay leya kam karo.
Internship ya remort Job
Agar first dono options say ap k clients nahi milty to ap internship karo chahy free ho ya paid. Agar ap kisi shahr say ho to ap ko buhat asani say internship mil jaye gay.
Main to har bande ko kahta ho kay freelancing start kary say pehla ap internship karo. Keu kay internship main ap har cheez seekho gay.
Ek to ap ki hard skills enhance ho gai dosra ap soft skills be seekho gay. Or maze ki baat client say baat kaisa karni ha, or Clients ko handle kaisa karna ha.
Lakin agar ap shahr say nahi ho kisi gown say ho jaisa main ho. To ap kay leya sab say best option ha remort job. Jo ap buhat asani say kar saktay ho.
Keu kay remort job kay leya ap ko just internet or PC chahay. Or ap nay jo kam office main karna ha wo ap ghar baith kay kar saktay ho.
Remort job or intership ap internet say find kar saktay ho. Us kay leya sab say best plateform linkden ha.
Platform select karo or freelancing start kar do

Portfolio banane kay bad jo last kam ha wo ha apny leya ek platform choose karo or signup karo. Buhat sary platform mil jaye gay ap ko jaisa:
Ya kuch platforms ha jin ko ap use kar saktay ho. In main say kuch bid base ha kuch Service base. Matlab ya kay jaisa upwork ha is par ap clients ko porposal send karo gay.
Or aga clinet ko ap ka porposal passand ata ha to wo ap ko kam day ga. Or service base hota ha kay ap nay ek service launch karni ha apny price par. Client aye ga ap ko kam day ga jaisa fiverr par hota ha.
Bid base main ap client kay pass jaty ho. Gig base main client ap kay pass ata ha.
Ya 3 steps ha jin ko use kar kay ap freelancing kar sakta ho. Ab main ap ko kuch skills bata dayta ho jin ko ap seekh sakty ho.
Skills for freelancing
Ab main ap ko kuch aise skilla batu ga jin ko ap seekh sakta ho.
- SEO ( Search engine optimization )
- SMM ( Social media marketing )
- PPC ( Pay per Click )
- Email Marketing
- Web development
- App development
- Graphic Designing
- Video editing
- Virtual Assistant
- Content writing
- Copywriting
- AI Development
Ya 11 sab says important high demanding or high earning skills ha. Agar ap ko is main say kisi cheez main be interest ha to in ko start kar kay buhat ziada paisa kama sakta ho asani say.
Final Thought
Freelancing ap in steps say start kar sakta ho lakin us ko long term lay kar chalna ap par ha. To ap ko main kuch steps batu ga jin par kam kar kay apny ap ko next level lay kar ja saktay ho.
Sab say pehli cheez ha kay apny leya koshish karo kay ek unique band name find kar kay us par brand build karo.
keu kay freelancing main ek cheez ka risk rahy ga or wo ha clients. Ap ka sara kam clients base ha agar ap ko clients na milay to ap ki earning zero ho sakti ha.
Lakin agar apna brand build karty ho to ap apny kam ko next level lay kar ja sakta ho. Or Agar bran building main youtube par videos banan shuru kar do gay to ap ka brand buhat ziada strong build ho ga.
Sab say important baat kabi be har kam khud karny ki koshish na karna. Jab ap ko lagy kay kam ap say ziada ha to ap team build kar lo.
Congratulations, Ab ap ko pata ha kay ap freelancing kaisa karo gay pakistan main. To ab ziada, socho mat step lo or skills start karo learn karna.
Agar ap ko courses ki list chahy to ap mera ya article par saktay ho: Online freelancing courses in pakistan
Thanks for reading freelancing se paise kaise kamaye in pakistan
Regards,
DH founder of moneysiren.pk

My name is DH and I am from Pakistan. I have 5 years of experience in digital marketing and SEO. I have done similar types of work on my blog and also for other clients. Now I make Money siren. A blog Where you learn how to make money online.
4 thoughts on “Pakistan mein Freelancing se paise kaise kamaye in 2023”