Ghar baithe kamaye 30000 mahina in Pakistan 2023

Ghar baith kay paisa kamana buhat asan ha. Par us kay leya ap ko ya seakhna pary ga kay paisa kaise kamate ha. Is article mai ap sekho gay kay Ghar baithe kamaye 30000 mahina in pakistan. Jab baat ati ha online ke to har koi darta ha kay hamary sath farad na ho jaye.

Ghar baithe kamaye 30000 mahina in Pakistan

Or darna be jaiz ha keu kay buhat sary logo kay sath farad hoty ha. Lakin is article mai ap ko me kuch aisa ways batu ga jin ko ap use kar kay 30,000 nahi is say be ziada paisa kama sakta ha. Keu kay main hud pechlay 5 saal say online paisa kama raha ho.

Muje online industry main 5 saal say be ziada ho gay ha. Mai nay pori online industry change hoti deakhi ha. ISi leya main ap ko wo ways batu ga jin ko ap use kar kay buhat ziada paisa kama sakta ho.

Ghar baithe kamaye 30000 mahina in Pakistan

Lakin is say Pehle kay main start karo methods. Jaldi say ap ko main kuch cheezay bata dayata ho. Jo jana ap kay leya Buhat zaroori ha. Jis main sab say pehle cheez ya kay agar ap nay online waqay he paisa kamna ha. To ap ko buhat bari game khalni paray ge.

Keu kay online paisa kama asan nahi is main ap ko buhat ziada mehnat karni paray ge. Jaisa kay main nay ke ha main blogging say paisa kama raha ho. Agar main koi shortcut ka he sochta rehta to ajj zero par khara hota.

Keu kay ap ko buhat sari youtube videos mile ge. Jo ap ko ya batatay hain kay ap is website par jow or signup karne par 100,000 kamo. Par aisa nahi hota keu kay agar aisa hota to har koi pakistan mein croro kama raha hota.

To in jaise videos ko deakhna choro or ap real ways seakho. Jo mein ap ko is article mein batana laga ho. Ap in mein say ek way ko utho or us ko youtube se seakh kar master karo. Is doran ap ne apni skill ko change nahi karna or seakha wohi skill jis mein ap ko interest ho.

Ab sedha chalty ha ways ki taraf keu kay mai ap ka ziada time waste nahi karna chahta.

1. Freelancing [ Fast way Paisa kamane ka ]

Freelancing sab say behtar or fast method ha agar ap nay Ghar baithe 30000 kamany ha. Keu kay freelancing karna buhat asan hota ha freelancing main sirf ap nay skills seakhny ha. Or skills seakhna buhat asan ha. SAb say fast skills Article Writing or video editing ha.

Freelancing se paisa kaisa kamaye

Ap ya dono skills 1 say 2 months me seakh sakty ho. Jaisa kay main nay starting main freelancing he start kea tha. Lakin phir us kay bad blogging par switch kar deya tha. Ab baat karte ha freelancing hota kea ha. Freelancing hota ha apni skills ko sale karna. AP nay skills seakh kay bad dosro kay leya kam karna ha or paisa kamana ha.

Freelancing kay 3 steps ha:

  • Learn Skill
  • Build Portfolio
  • Join freelance marketplace

sab say pehla skills seakhna. Jo kay koi be ho sakta video editing, Graphic Desiging, SEO, Social media Marketing, programming. In kay alawa be buhat sary skills ha. Ap ne koi be skill apne interest kay hisab se select kar kay us skill ko seakhna hai.

Skill seakhne kay bad agla step hai portfolio build karna. Portfolio hota ha ap ka work samples jo work ap nay kea hota hain.

Is cheez mein Facebook groups ap ke help kary gay apna portfolio build karnay mai. Facebook groups main jow or logo ko free main kam kar kay do. Keu kay is se ap ka portfolio easy build ho jaye ga.

Us kay bad last step hota hai koi be freelancing market place ko join karna. Or us par apni services ko sale karna. Buhat sari market places hai jaisa fiverr, upwork, people per hour, Guru and freelancer. Ap ne koi be ek marketplace select karni hai.

Or us par apni services dena start kar daina. Agar ap portfolio kay bagir start karte hain. To chances kam hotay hain ap ki sucess kay.

Pakistan or worldwide buhat sary freelancers ha. Jo millions of dollars kama rahy ha. Jaisa kay Pakistan kay sab say bary freelancer sir Hisham Sarwar ha. Jo kay millions of dollors kama rahy ha.

Must read: Freelancing kaisa kare

2. Blogging [ Best way passive income ka ]

Blogging dosra tarika ha online paisa kamany ka. Lakin Blogging freelancing ki tarah koi fast method nahi ha. Blogging main ap ko sabar say kam layna ha. Lakin ek dafa ki mehnat kay bad jab ap kay blogs rank kar jaye gay tab ap ko long term mein paisa milta hai.

Blogging se paisa kaisa kamye

Keu kay freelancing jo hoti hai wo depend hoti hai clients par. Agar clients aye to ap earning karo gay, Lakin agar clients na ho to 0. Lakin blogging mein aisa nahi hai. Ap ka content jo ap upload karte ho kabi be outdated nahi hota ap ko long term paisa dayta rehta hai.

Is leya sab ko kahta ho start mein Freelancing karo lakin us kay sath sath blogging ya vlogging karo. Keu kay ya dono passive way hain income kay. Or ek time kay bad jab ap ki passive income ziada ho jaye to ap freelancing ko chor sakta ho.

Freelancing fast way ha or blogging slow way ha. But blogging mai ap ziada paisa kama sakty ho freelancing say. Freelancing ap ki tab tak chalti ha jab tak ap ko clients milty ha. lakin blogging main ap nay ek he dafa mehnat karni ha or paisa ap ko tab tak aty rahy gay. Jab tak ap ka wo blog chalta rahy ha.

Blogging ek process ha apni site banae say lay ka articles likhna or phir paisa kamany tak. Ab mein ap kay sath kuch steps share karta hon jin ko ap use kar kay blogging start karo gay.

Steps to start blogging

  • Niche Find Karna
  • Domain and Hosting Buy karna
  • Site Setup karna
  • Site Customize karna
  • SEO Karna
  • Keyword research karna
  • Article writing karna

Ya steps hain jin ko ap use kar kay blogging start karte ho. To mein ziada detail mein nahi jow ga lakin thora breif kar dayta hon.

Sab say pehla step ha niche find karna. Niche hota ha ap kay blogs kay topics. Jin par ap nay articles likhnay Hota hain.WO ap nay apne hisab se khud find karna hota hain. Us kay bad next ap kay blog ka name decide karna hota hai. Name decide karne kay bad ap nay domain or hosting buy karni hoti hai.

Domain hota ha ap ki site ka name or sath .com, .net, .org, .pk. Jaisa kay mery blog ka domain ha moneysiren.pk. Domain kay sath dosri cheez ap nay layni ha hosting. Hosting hota ha ek online server jo ap nay buy karte ho jaha ap ki site ki sari files store hoti hain.

Domain or hosting kay bad ap ne site ko customize karna hota hai setup kar kay. Yaha tak ap ki site ready ho jaye gay us kay bad ap ka main kam shuru hota hai, Keyword research ka or content creation ka. Or phor jab ap ki site traffic gain karna shuru kare to us ko monetize kar lo. Jis se ap ki earning blogging se start ho jaye ge.

Must Read: Blog kaisa bante ha | What is Blog in Urdu

3. Vlogging / Youtube Channel

Next sab say popular method ha wo ha Youtube channel. Is main ap nay sirf youtube par ja kay channel bana kay videos banani hoti ha. OR youtube channel kay leya sirf ap ko ek Gmail account chahy.

Youtube se paisa kaisa kamaye

Jab ap ka channel ban jaye to sirf ek niche kay related ap nay videos banai ha. Or youtube be blogging ki tarah slow process ha par is process say ek dafa guzarny kay bad ap buhat ziada paisa kama sakty ho. youtube channel say na sirf ap paisa kamaty ho.

Balkay ap ko fame be milay ga duniya ap ko janay ge pehchany ge jo kay ek buhat bari baat ha. Keu kay paisa to har koi kama layta ha par rab pehchan buhat kam logo ko dayta ha. Or ap be agar isi dor main jana chahty ho to blogging ki tarah ap ko be buhat lambi race khalni pary ge.

Jaise ap blogging say lakho kama sakty ho blogging main karna kea hota ha sirf ap nay articles likhnay ha. LAkin youtube par ap nay videos banani hoti ha. keu kay kuch log videos asani say bana layty ha articles asani say nahi likh sakty.

4. AI se paise kaise kamaye [ Earn From AI ]

Jaisa kay ap ko pata hai kay 2023 kay starting se he AI ne bhoom pakra hai. Jo abi tak khatam nahi ho raha balkay AI ki feild mein nai nai cheezay ati ja rahi hai. To ap kaisa AI ko use kar kay earning karo gay. Lakin Sab se pehle baat karte hain kay AI ha kya.

Takay ap us ko clear smajh sako or AI ka full potensional Use kar kay online earning kar sako. AI ka full form hai Artifical Intellengence. Ap simple ya smajhye kay Ai ka matlab ya hai kay kisi be computer ko demagh day daina. Jis se wo soch sakta ho.

Ab baat karte hain kay kon kon se AI kay tools hai or kaisa ap AI ko use kar kay paisa kama sakta ho. AI ziada famous howa tha Chat GPT kay bad. ChatGPT ek LLM ha jis se ap question karo gay to ap ko wo answer day ga.

CHATGPT se paisa kaisa kamaye

To ap is ko use kar kay buhat sary ways se earning kar sakya ho. Jaisa kay ap chatgpt ki madad se copywriting, Script writing, Social media caption wagira ki servieces day sakta ho. Us kay alwa ap script chat GPT se likhwa kay youtube videos bana kay youtube se earning kar sakta ho.

Us kay alwa be ap Blogs bana kay article chat GPT se likh kar kay earning kar sakta ho. Blogging chat GPT kay sath asan ho gai hai. Lakin ap ko blogging karne se pehle ya seakna pary ga ap kaisa chat gpt ko use kar kay content likho gay.

Other ways AI se paisa kamane kay

IS kay alawa be buhat sary tools hai, jaisa mid journey jo kay AI images banata hai. Ap us ko use kar kay image creation ki services day sakta ho. Or sab se best way hai kay agar ap ko programming mein interest hai.

To ap AI developer ban sakta hain jaisa kay buhat sary developers hain. Jino nay buhat sary AI tools build kea hai. Or agay be build hon gay, ap be is feild mein ja kay earning kar sakta ho.

5. Affiliate Marketing

Affiliate marketing hota ha kisi be bande kay products ko commission base sale karna hota hain. Affiliate marketing sab se best method hai, Jis ko ap use kar kay daily par achi khasi earning kar sakte ho. Or 30,000 ap easily per month kama sakte ho.

Isi blog moneysiren se mein affiliate marketing kar kaya achi khasi earning kar raha ho. Ap be meri tarah earning start kar sakte ho affiliate marketing se. Just ap nay first ek affiliate network ko join karna hai. Us kay bad ap nay woha par mujod kisi be product ko promote karna ha.

Buhat sary affiliate marketing kay platforms hain jaisa.

  • Clickbank
  • JVzoo
  • Amazon Associates
  • Impact
  • WarriorPlus
  • ShareASale
  • CJ ( Commission Junction )

Ya plateform hain jis mein se ap kisi be plateform ko join kar kay. In kay products, ko promote karna hai. Jis ko ap kahi par be promote kar sakte ho. Jaisa mei blogging kay method ko use kar kay affiliate marketing karta ho. Isi tarah ap nay be koi method choose kar karna hain products ko promote karne ka.

6. E-commerce

2022 Se e-commerce kay andar ek sudden boom aya hai pakistan kay andar. Keu kay 2022 mein buhat sary logo ne amazon se paisa kamana shuru kea.

Jis se suddenly market mein amazon amazon honi shuru ho gai. E-commerce mein hota ya hai kay ap nay apne products ko online sale karne hote hain. Lakin mere hisab se e-commerce ek active income source hai.

Or ya kam wohi banda kar sakta hai. Jis kay pass achi khasi investment hai. Keu kay is mein ap nay apne products bana kay sale karne hote hain. Or un kay leya ap kay pass achi khasi investment honi chahye.

Final Thoughts

Ya ha 3 sab say best method jin ko ap use kar kay lakho caroro kama sakty ha. Is kay alwa be buhat sare method ha jis ko use kar kay ap Ghar baithe kamaye 30000 mahina in pakistanBut wo sary jo be methods ha un main ya sab hoty ha wo sirf monetization methods ha.

List of other ways to make money:

  1. Ads Placement
  2. Selling products and courses
  3. Amazon
  4. Remort Jobs

Ya in 3 kay alawa method ha par ya monetization methods ha. In sab ko ap tab ek achy level par kar sakty ho jab ap kay pass ek achi khasi traffic ho. Jab ap khud ko well establish kar layty ho to. Ap ko khad khatam ho jati ha well establish hota ha traffic, subscribers, followers.

Or in sab methods, kay leya ap ko freelancing nahi karni. Ap freelancing say start lay sakty ha phor jab freelancing ap ko stable kar day us kay bad ap blogging start kary. Ya phir youtube channel bana kay videos bana sakty ho.

Keu kay jab ap kay pass audience ho gai to apny courses be bana kay sale kar sakty ho. AP kisi kay be products promote kar sakty ho jaisa kay affiliate marketing main karty ha.

Umeed ha ap ko ya article passand aya ho ga. Agar detail main or information chahy to ap mere dosry articles be deakh sakty ho.

Regards,
DH Founder of Moneysiren

Share this Post

5/5 - (1 vote)

2 thoughts on “Ghar baithe kamaye 30000 mahina in Pakistan 2023”

Leave a Comment