Instagram se paise kaise kamaye in 2023 [ Asal Tarikay ]

Agar ap be instagram se paisa kama chahtay hain. Tao ajj kay article mein ap kay sath mein kuch ways ko discuss karo ga. Jis ki madad se ap easily pakistan mein Instagram ko use kar kay earning kar saktay ho. 

Instagram se paise kaise kamaye

Lakin us kay leya ap ko kuch cheezo ko deakhna pary ga. Jaisa kay ap ki audiance ki type ki hai, Ap kay pass kitni audiance or followers hai. Or sab se bari cheez ap ki audience kitni loyal hai. 

Keu kay instagram se wohi banda buhat ziada paisa kama sakta hain. Jo ek influesor hai, Influensor hota hain wo banda jo kisi na kisi type ki audiance mein famous ho. 

Lakin agar ap instagram par famous nahi be. To ap ko mein sab se pehlay yahi batu ga kay ap kis tarah instagram par apni audience build kar saktay ho. Keu kay jab ap ka ek acha khasa audiance base build ho jata hai. 

Tab ap apni earings ko maximize kar saktay ho. Lakin don’t worry agar ap famous nahi hona chahtay tab be ap instagram ko use kar kay earning kar saktay ho. 

Instagram influencer kaise bane

Jaisa kay mein ap ko pehli batya hai kay influencer wo hota hai. Wo kisi na kisi type ki audiance mein famous hota hain. Jaisa ap ko buhat sary influensor miltay hain har feild mein. Mein ap ko pakistan kay kuch top class influencers ka bata sakta ho. 

  • Azad Chaiwal 
  • Sahil Adeem
  • Ducky Bahi
  • Raza Somo
  • Ismail Blogger 
  • Qasim ali shah
  • Atif Aslam
  • Fawad khan 
  • Feroze khan

Jaisa kay ap ko is list mein kuch name nazar a rahy hai. Ya sab kay sab influencers hai to apni apni feild mein mahart rakhtay hain. Influencer koi be ho sakta hain, cahay wo koi youtuber ho, tiktoker ho, Showbiz mein ho ya phir singer ho. 

Wo ho ga ek influencer he, ap be in mein se ek ho saktay ho. Or phir jab ap instagram par apna ek acha khasa audiance base build kar lo. To ap acha khasa paisa kama saktay ho. I hope ap ko smajh a gai ho ge Ab baat karte hain un steps ki jin ko follow kar kay ap apni journey start kar saktay hain. 

1. Find a Niche / Area of interest 

Sab se pehla step ap ka hai apne leya ek niche ko decide karna. Niche hota hai wo segment jis kay around ap content generate karo gay. Yes agar ap nay influensor bana hai to ap ko content banana pary ga. 

Content hota hai kisi be kisim ki information ki be formet mein. Jo mein nay uper list add ki hai ya sab kay sab log content banate hain. Content educational be ho sakta hai, Entertainment mein be. 

To seb se pehle ap nay apni industry select karni hai. Kay ap nay education mein jana ha ya entertainment mein. Ya ap nay apnay intrust kay base par choose karna hai. Us kay ap nay apni industry mein ek niche ya topic pick karna hai.

Jaisa kay mein nay education industry pick ke. Phir us ko jab mein nay deep down kea to us mein mujy mere interest mil make money online & digital marketing. Is leya mein nay moneysiren banya? Keu kay is topic mein mujy khud interest tha. 

Or mein pichlay 5 saal se online feild mein kam kar raha ho. Or mein nay buhat sary ways ko use kar kay earring ke hai. Ab mein apnay sary experiences ap kay sath share karta ho. Moneysiren abi sirf ek blog hai. 

Lakin ahista ahista mein ap kay sath dosry social media par content share karna shuru kar don ga. Mery jaisa ap nay be ek topic ko pick karna hai. Lakin is ka matlab ya nahi kay mein instagram se earning nahi karta.

 Mere instagram par buhat sary pages hai. To mere jaisa ap Apne Instagram kay pages banya ek topic select kar kay.

2. Setup Instagram Profile 

Niche final karne kay bad agla kam nay karna hai wo hai instagram profile banan hai. Lakin profile banane se pehle kuch cheezay ap nay deakhni hai. Keu kay ap nay apna profile professional lay kar chalna hai. 

Sab se pehle cheez ap nay apne page kay leya ek acha sa username select karna hai Jo unique ho. Us kay bad ap nay apne page kay leya logo banana hai. Wo ap kuch be banan saktay ho. 

Or lastly ap nay apny profile ka ek professional bio likhna hai. Apni profile mein ap nay apne niche or apne bary mein baat karni hai. Aise wase cheezy nahi likhni jo irrelevant ho. Ya 3 main cheezay hai jis ka ap nay khiyal rakhna hai. Or sab say zaroori ap nay username ka khayal rakhna hai. 

3. Start Generate Content

Jab ap ka account setup ho jaye us kay bad ap ka agla kam hai. Apni niche jo ap nay select ke hai us kay related content create karana. 

Yaha par ap buhat ziada techniques ko istamal kar ka grow kar saktay hain. Jin sab mein se jo sab se easy ap ko grow karwa sakti hain. Wo reels hai ap vial sounds par real bana kay grow kar sakta ho. 

Lakin reels mein nay information dayni hai apni niche kay related. Like agar mein reel banow ga to mein ek viral music uthor ga or us par information likho ga make money kay related. Keu kay viral music use karne ka faida ya hain.

Kay chances buhat ziada hai reel viral hone kay. Or agar ap nay apni niche mein reel viral karwa le to ap ka page buhat jaldi grow ho jaye ga. Is kay alwa ap viral hashtags ko be use kar sakta ho. Ya sab tricks se ap kay page ki audiance buhat jaldi grow ho jaye ge. 

Lastly, jab ap ka page grow ho jaye or ap ko followers mil jaye. To un followers kay sath interact karo, Jis se ap ka or ap kay followers ka bond strong ho ga. Or jitna ap ka apni audience kay sath bond strong ho ga. Utna he acha brand ap ka build ho ga. 

Instagram se paise kaise kamaye

Ab baat karte hain kay ap nay instangram se kaisa earning karni hai. Jab ap ki audiance build ho jaye. Or audiace be fans nahi loyal followers. 

Jaisa kay mein nay pehle he kaha tha kay jab ap influensor ban jate ho. To ap kay pass buhat sary options hotay hain earning kay. Jin mein se kuch popular ways to ap kay sath share karta ho. 

1. Sponsored Post 

Har influensor sab say ziada earning is method se karta hain. Is mein hota kya hai kay ap ko buhat sary brands reach out karte hain agar ap kay ache followers hain. 

Or ap ko paisa daytay hain bas ap nay un brands kay leya post karni hoti hai. Jaisa kay for example ap fashion influesor ban gay ho. To buhat sary clothes, shoes, and perfumes wagira kay brand ap ko reach out kary gay. 

Or ap ko products be day gay or ap ko paisa be mile ga. Ab ya pasia ap kay followers ki engagement par hota ha. Agar ap ki audience achi or active hai. To ap ko ziada paisa mile ga. Or agar ap ki audaiance kam hai to paisa us hisab se ho ga. 

Lakin koi be influencer RS 100,000 se lay kar crore layta hain. Lakin agar ap ki audiance kam hai to ap khud brand ko contact kar kay un kay leya brand promotions kar saktay hain. 

2. Paid Collaboration 

Paid collaboration next way hai jis ko ap use kar kay eanring kar saktay hain. Is mein hota kya hai kay ap ko buhat log reach out karte hain. 


Or ap nay apni niche kay according un say collaboration karte ho. Jaisa ap un kay kisi show mein ja saktay ho, Ya phir ap us kay leya koi be show kar saktay ho. Ya phir jaisa ap na aksar deakha ho ga kay. 

Koi be banda jo viral ho jata ha us kay bad wo kafi shows mein ya phir drama’s mein kam karta hai. Ya phir dramas wale khud un ko reach out karte hain. Or ap un kay shows mein kam karte ho or us kay ap ko paisa milte hain. 

3. Affiliate Marketing 

Ya ho way hai ap is say buhat ziada earning kar saktay ho. Affiliate marketing hota hai kisi be bande ka products commsition base par sale karwana or us se earning karna. Ab yaha par baat ati hai kay ap ko kaisa products mile gay. 

Buhat sary platforms hain ap jis ko use kar kay apni niche kay related affiliates find kar saktay ho. 

  • Clickbank
  • JVzoo
  • CJ ( Commission Junction )
  • Impact 
  • Partnerstack
  • Amazon Associates
  • Daraz Affiliate program

Ya, platform hai is mein say koi be ap choose kar kay apni niche kay related products find kar saktay ho. Jaisa kay mein kafi products ko promote karta rehta ho. Jaisa kay hostinger keu kay mera kafi article mein blogging kay bary mein cover howa hai. 

To mein un articles mein affiliate products ko promote karta rehta ho. ISi tarah ap nay apni niche deakhni hai, phir us kay related products ko find karna hai. Agar ap ki niche physical products kay related hai. To ap un ko amazon or daraz kay affiliate join kar kay promote kar sakta ho. 

4. Own Products

Last of sab say best way jis ki madad say ap instagram se buhat ziada earring kar saktay ho. Wo hain apne products line launch kar kay. Keu kay affiliate main apko commission milta hai. Lakin apne products se ap ko buhta ziada profit hota hai. 

Lakin ya cheez karne kay leya apko kuch cheezay deakhni hai. Sab se pehli cheez ya kay ap ki audience kis type ki hai. Or ya depends karta hain ap ki niche par. Or sab say zarrori cheez ya deakhni hai kay ap kis type ka product launch karo gay. 

Keu kay products do tarah kay hotay hain. Ek hota hain kay digital products or dosra hota hain physical products. Koshish kare kay apni niche ka related agar ho sakay to digital products create kare. Lakin agar ap ki category mein wo cheez nahi ho sakti.

To ap psycial products be create kar saktay ho. Jaisa kay apni merchant bana saktay ho clothes ki ya shoes wagara ki. 

5. Monetization through Instagram 

 Last method jis se ap earning kar saktay ho instagram se wo hai monetization. Lakin ya method har country mein available nahi hai. Keu kay ya method bai latest he interduce kea hai Instagram nay. 

To is leya ap pakistani mein abi is method say earning nahi kar saktay. Lakin is the future ya option a jate ga. Or jab ya option a jaye ga to ap is method se earning karna start kar sako gay. 

Conclusion 

Mein umeed karta ho kay ap ko smajh a gi ho ge kay kaisa ap earning karo gay instagram se. Baat sirf atini hai kay ap ko instagram par influensor bana hai. Jab ap nay ya kar leya to ap kay leya earning limitless ho jati hai.

Or ap buhta ziada ways unlock kar laytay ho. Jis say ap online earning karte ho. So focus karo apni branding par or influencer banae par. Ab mein is article ko wrapup karta ho agar ap ka koi question hai to ap mujy comment kar saktay ho. 

Thanks for watching.
Regards,
DH Founder of Moneysiren 

Share With Your Family & Friends

Rate this post

Leave a Comment