Table of Contents
2023 main har koi internet say paisa kamana chahta ha. Agar ap b usi list main aty ho to tension nahi layni is article main ap ko main kuch aisa ways batu ga jin ko use kar kay ap internet se paise kaise kamaye in pakistan.

Lakin is say pehla main ap ko ways ki taraf lay kar jow. Ap say main kuch bate karna chahta ho jo ap kay buhat kam aye ge. Sab say pehli baat ya kay kabi be short cut nahi layny ki koshish karni. Keu kay online industry long term game ha.

Is game ko ap ko khalna pary ga. Agar ap long term paisa kamana chahty ho internet say. Dosri baat ya ha kay koshish karo assets build karny ki online. Jo ap ko sotay waqat be paisa day gay. Lakin us kay leya ap ko start layna pary ga.
Ab start karty ha ways kay bary main kay kon kon say ways ha. Jin ko ap use kar kay internet say paisa kama sakta ho.
Must Read:
Earn money online in pakistan for students
Internet say paisa kamane kay Tariqa
internet se paise kaise kamaye in pakistan iss sawal ka jawab sab say mushkil ha. keu kay internet say paisa kamane kay buhat sary tariqa ha. Par sab ki base Ek he ha wo ha selling. Ap nay internet say jab paisa kamane ha to kuch na kuch sale karna ha. Chahy wo products ho services ho information ho ya ap ki skills ho.
Meri nazar main do tariqa ha paisa kamane kay. Ek Selling or dosri asset building. Selling main ap ya to koi be product sale karty ha ya freelancing services dayty ha.
Or asset building main ap kuch assets build karty ha jaisa blogs, youtube channels, Social media pages, tools.
Ap start freelancing say lay laking sath sath apna koi be Ek asset banana start kar day.
Freelancing

Freelancing hota ha kisi ko be kam kar kay dayna or us say paisa layny. Bashart ap us kay mulazim nahi hoty. Freelancing ka maza yahi ha kay ap is main apni marzi kay projects kar sakta ha. Us kay alawa ap freelancing main ap apny time ko be control kar sakta ha.
Pakistan main har saal freelancers $3.8 Billion freelancing say kama kar Pakistan main lay kar aa rahy ha. or India main $115 Billion dollars. Abi Pakistan is Taraf a Raha ha ap next freelancer ho saktay ho jo millions kama rahy ho freelancing say.
Must Read: Online freelancing courses list
Freelancing start kaise Karni ha
Freelancing itna asan ha karna main utna asan ha seakhny main ap kuch steps kay bad easily freelancing start kar sakta ha. Main nay be starting main freelancing he ke thi. Lakin abi main freelancing say nahi blogging say ziada paisa kamata ho. Ab baat karty ha us steps ki jin say ap freelancing start kary.
Skills seakho
Sab say pehla step ha skill seakhna. Wo koi be ho sakta ha buhat sari skills ha jin main say kuch be ap seakh sakta ho. Lakin ap nay jaldi paisa kamana ha to article writing or video editing sab say fast learning skills ha.
Un kay alwa be SEO, Social media marketing, affiliate marketing, Coding. Lakin skills ap nay wo seakhny ha jin main ap ka interest ha. keu kay agar ap us skill main chaly gay jin main ap ko interest nahi. To ap us main sahi tarah kam nahi kar saky gay.
Portfolio bano
Agla step ha apna portfolio bano. Portfolio hota ha ap nay kis kis client kay sath kam kea ha. Or apni skill kay andar kon kon say kam kar chukay ha. Us kay leya ap ko clients chahy lakin starting main ap say kam kon karwaye ga.
Ap ya soch rahy ho tension nahi layni main ap ko batata ho kay ap easily portfolio kaisa bana sakta ho. Us kay leya sab say asan tariqa ha facebook groups. Us main jow or logo kay leya ap free main kam kar kay apna portfolio bana sakta ho.
Freelancing plateform Join karo
Portfolio kay bad ap koi be platefom join kar sakta ho freelancing karny kay leya. 2022 say pehla Pakistan main Fiverr buhat chalta tha ek new bande kay ley buhat acha platform tha. Lakin ab us nay kuch restriction laga de ha.
Is leya ap kay pass fiverr kay alwa be options ha lakin us kay leya ap ko pehla buhat kabil banana pary gay. Mere lehaz say sab say best plateform ha Upwork keu kay main nay isi par kam keya howa ha. Buhat acha plateform ha jin ko use kar kay ap earining kar sakta ha.
Apna Brand build karo
Last cheez ha jo ap kay steps main nahi ata ya ap tab implement karna jab ap kay pass clients ana start ho jaye. Kam kea karna ha apna ek username banaana ha us username par ap apna social media pages banye or un par hud ko promote kary.
Is say ya ho ga kay log ap ko usi name say janana Shuru ho jaye gay. Is say ya ho ga kay agar freelancer platform ap kay accounts ban kay day. Tab be agar ap kay clients kay pass ap ka username ho ga wo ap ko hud dond lay gay.
Blogging
Blogging dosra sab say asan tariqa ha paisa kamane ka.

Is main ap nay sirf blogs banana ha us kay bad ap kay paisa any start ho jaye gay kuch mehnat kay bad. Blogging ek tariqa ha content ko writing ki form main logo tak puhchany ka.
Main kud blogging say buhat ziada paisa kama raha ho. Blogging kay leya ap nay kuch skills seakhny ha jaisa kay SEO, Article writing, Graphic Desiging. Keu kay in ki madad say ap buhat jald apny content ko google main rank karwa kay traffic lay kar paisa kama sakta ho.
Blogging start kaisa kary
Blogging main ap ko kuch paisa chahy start karny kay leya isi leya main nay kaha ha start freelancing say karo. Bad main jab ap kay pass paisa ho tab ap is ko start kar sakta ho. Par is ka matlab ya nahi kay ap start nahi kar sakta. Agar ap kay pass 10,000 tak ha to ap blogging start kar sakta ho.
Detail Guide: How to start blog in pakistan
Niche Select karo
Sab say pehli cheez ha niche select karna. Niche hota ha ap kay blog kay seed topic kay kis topic par ap content likhy gay. Jaisa ka moneysiren ka topic ha Make money online, Freelancing, Blogging. Isi tarah ap nay apnay blog ka niche deside karni ha.
Blog ka name or domain select karna
Blog name sab say important cheez ha ap nay aisa name deside kara ha jo easy ho or yaad rahy. 3 tarah kay names hoty ha Ek branding name is tarah kay name mai ap Kisi be word ko niche say jor dayty ho. Jaisa facebook ap socho kay agar facebook na hota to is word ka kea matlab hona tha.
Isi tarah kay words hoty ha branding names main jin ka koi maqsad nahi. lakin wo kisi topic kay sath jor kay us ko represent karnty ha. Dosra types hota ha partial match name. Is tarah kay names niche ko represent karty ha jaisa seoguide, Bloggingvela, Pakreviews.
Is tarah kay name agar ap rakhty ho to ap ki site buhat jaldi rank karti ha. Tisra tariqa ha exact match name ab ya keyword base names hoty ha jaisa bestlaptopsforstudents, Bestbloggingtopic. Ya name log events blogging mainly use karty ha.
Domain or Hosting buy karna
Agla step ha domain or hosting buy karna domain ap kay blog kay name kay sath koi be extension jaisa moneysiren.pk, Youtube.com, facebook.com. Or hosting hota ha ek online server jis par ap apni website ko 24/7 live rakhny kar khardety ha.
Blog setup or customize karna
Khardeny kay bad agla step hota ha hosting or domain or jor kay blog banana. Or phir us ko apny hisab say customize karna jaisa ap chahty ho. Hosting main ap CMS install karty ho or sab say ziada WordPress CMS use hota. Jo sab say asan ha use main.
Article Writing
Site bananay kay bad ap ka next step ha article likhna keu kay khali website kabi be rank nahi karti. AP ko articles likhny pary gay site rank karwanye kay leya. Or jab ap kay articles rank kar jaye to adsence apply kay lay jis say ap ki site par ads chal jaye gay or ap earning start kar day gay.
Youtube
Youtube wo jawab ha jo ap kay sawal Internet se paise kaise kamaye in pakistan ko hal kar sakta ha. Keu kay ap sirf internet say lakho nahi cororo kama sakty ho. Jaisa kay buhat sary log kama rahy ha. Lakin youtube say paisa kamany kay leya ap ko videos bannani pary ge.

Jo sab say mushkil kam hota ha keu kay article likhny main. Ap chup chap Ek he jagha betha kar leakhty jaty ha. lakin video bananay mai ap ko sab say pehly topic sochna phir script likhna phir video banan phir edit karna. Edit kay bad phir youtube par upload.
Par agar ap sab kuch kar kay ya kam seakh jaty ho kay editing kaisa karni ha banani kaisy ha video. Us kay bad ya sara kam ap kay leya buhat asan ho jaye ga.
Youtube say ap na sirf lakho kama sakta ha par us kay alwa ap ki branding be ho ge. Agar ap videos camera kay samny a kay banaty ho tab ap ko fame be mily gay. AP buhat ziada famous ho jaow gay jab ap famous ho jaty ho.
Phir ap youtuber ki catagire say nikal kay influesor ki catagori main a jaty ho. Tab ap kay kamany ke koi had nahi. Jitna chaho kay utna kamow gay.

Online Teaching
Youtube kay jaisa online teaching be wo jawab ha jo ap kay sawal Internet se paise kaise kamaye in pakistan ko khatm kar day gaa. Keu kay ya sab say asan sa kam ha. Is main ap logo ko Live classes dayty ho. Chahy wo youtube par ho ya zoom par ho.

Or agar ap youtuber ho or kisi aisae skill main ho jaha ap parha sakty ho. Tab ap buhat zida paisa kama sakta ho. Keu kay mery hisab say do he aise industies ha jin say ap millions kama sakta ha asani say.
Ek ha gaming industry or dosra Edutech. Edu tech hota ha online logo ko parana. Jo buhat he asan sa kam ha jis kay leya log ap ko pay kary gay. Lakin parhany say pehly ap is kabil hony chahy kay logo ko para saky.
Product Selling
Product sale kar kay be ap buhat ziada paisa kama sakta ho. Wase be ajj kal amazon ka buhat ziada craze howa para ha. Lakin amazon main ap physical product he sale kar sakty ho. jin say ap ko buhat ziada paisa nahi milty.

Kamaty ap millions main ho lakin ap ko profit ziada nahi hoty. Profilts ap ko Saas Products main hoty ha keu kay wo product ap ek he dafa banate ho us kay bad jab tak wo sale hoty rahy gay. AP ko paisa aty rahy ga.
SAAS hota ha koi be service base product jaisa ka SEO industry ka sab say bara tool Ahref ha. Jo kay ek saas product ha wo Ek he dafa ban gya ha ab us ko sirf sale he chahy us par koi Naya kharcha nahi hota. To koshish karo is tarah kay tools build karny ki jin say ap lakho crore kama sako.

Conclusion
In kay alwa be buhat sary tariqa ha online paisa kamane kay. lakin main nay wo batye ha jin say ap thora kam kar kay ek empire build kar sakta ho. Jis say ap tab tak paisa kamate raho gay jab tak ap ka wo asset rahy ga.
Main ummed karta ho ap ko apny sawal Internet se paise kaise kamaye in pakistan ka jawab mil gay ho. Mazeed articles parny kay leya ap is blog ka name yaad rakhya ga.
Regards,
DH Founder of Moneysiren

My name is DH and I am from Pakistan. I have 5 years of experience in digital marketing and SEO. I have done similar types of work on my blog and also for other clients. Now I make Money siren. A blog Where you learn how to make money online.