Table of Contents
2023 mein agar ap kay pass sirf mobile hai. To ap us ko use kar kay paisa kama sakta ho. Is mein buhat sary ways hain, Jin mein say kuch ways is article mein discuss kare gay. Or is article kay bad inshallah ap ka question Mobile se paise kaise kamaye in pakistan clear ho jaye ga.

Ajj kay article main mein jo ways ap kay sath share karo ga. Wo 100% free methods hain. Jin ki help say ap online earning start kar sakta ho mobile say.
Ways that i cover in this article:
- Pictures / Videos sale karna
- Voice over services
- Youtube Channel
- Games Khal kay
- Manage Social Media’s
Ya 5 aisa ways hai jin say ap buhat asani say mobile use kar kay paisa kama sakta ho. AB mein in ways ko detail mein one by one explain karta ho. Takay ap ko samajh a jaye ya ways hai kya or in say paisa kaisa kamne hai.
Pictures / Video sale Kar kay
Sab say pehla or best method yahi ha Mobile say online earning ka. Keu kay is way mei ap nay karna kuch nahi sirf ap jaha par jow. Un jagha ki pictures ya un jagha ki videos banani ha. Or us kay bad buhat sari websites hain.

Jis par ap in images ko sale kar sakta ho. Asal mein hota kya hai let’s suppose mein ek video bana raha ho. Jaha mujy Video editing karte hoye bande ki image chahy.
Ya us ki video chahy ab mere pass 2 option ha. Ek ya kay apni video ya image mein khud bana lo. Ya phir dosra option ya kay us image ya video ko kisi stock footage wali site say buy kar lo. First method mein mujy DSLR camera, Proper lighting, Proper Setup chahy ho ga.
Jis ko mein afford nahi kar sakta, Is leya mera leya dosra option best hai. Main un images ya videos ko buy kar lon ga stock footages websites say.
List of website jaha ap images ya video sale karo gay:
- Shutterstock
- Getty Images
- Istock
- Imagesbazaar
- Big Stock
Ya kuch chand website hai, In kay alawa buhat sari or be hain. Ap ka kam just simple ya ha kay har din kuch random images. Jis marzi cheez ki capture kar lo. Isi tarah videos be capture kar kay in website par sale kay leya laga do. Jab koi be image purchase kar kay ap ko earning ho ge.
Voice Over services
Second service jo ap sirf mobile ko use kar kay day sakta ho. WO hai voice over, Is service mein simple ap nay karna kya hota hai. Jo be ap ko order day ga. Wo ap ko ek script dayta hai. Ap nay us script ko bol kay record karna hai.

Yaha par ap ko audio record karnay kay leya laptop nahi chahay. Just ap ka kam Mobile par be ho jata hai. Tension layny ki zarrorat nahi ha yaha. Ap ko wohi script dayn gay log jis language mein ap service do gay.
Let’s suppose ap ko urdu sirf ati hao. To ap apni service sirf urdu language kay leya he do gay. Clients ap ko script dayn gay ap nay sirf bol kay record karni hai.
Ab baat karte hain kay ap ya kam start kaisa karo gay. Buhat asan ha ap nay just freelancing marketplace ko join karna hota hai.
Or woha apni services dayni hoti hai. Buhat sari market places hain. Lakin wo sab mainly 2 types ki hoti ha. Ek gig base or dosri bid base. Gig base mein log ap kay pass aty hain. Or Bid base mein ap logo kay pass jata hain.
List of Freelancing marketplaces:
- Fiverr
- Upwork
- Freelancer
- Guru
- PeoplePerHour
- Workchest
Ap ka kam ya hai kay is sab marketplaces kay basic cover kar lo. Or smajh ko ya sari marketplaces kam kaisa karti hain. OR jo ap ko apne hisab say achi lagti hai. Ap us ko join karo or apni services dayna start karo.
Youtube Channel
Youtube channel say sirf ap mobile ko use kar kay paisa nahi kamo gay. IS kay sath sath ap ka apna brand be build ho jaye ga. Mein nay is way par buhat detail mein article [ Youtube say pais kaisa kamana hai ] likha hai. Ap ja kay is ko parh sakta ho.

Lakin yaha par ap ko mein thora sa summarize kar kay bata dayta ho is way kay bary main. Youtube channel par ap nay agar kam karna hai.
To ap ko at least 2 saal dayny ho gay apny channel ko. Us kay bad ap ja kay paisa kamow gay. Or agar ap dedication kay sath ya kam nahi kar sakta. To ap is feild mein na jow keu kay main nay buhat sary bande deakhy hain.
Jo youtube channel bana layty hain, lakin wo kamab nahi hoty. Keu kay wo 3 month lagata hain. Or 3 month videos upload karne kay bad. Jab results nahi milte tab wo youtube channel chor dayty hain.
Keu kay wo kuch mistakes karte hain jaisa Na apna content ki quality increase karte hain. Na he apni skills par kam karte hain.
In jaisa kam ap nay nahi karna agar ap nay kam karna hai youtube channel par. To ap apni skills par kam karo, Kay content kaisa banta hain. Editing kaisa karte hain, Scripts kaisa likhty hain.
Ya sab kuch seakho or Apni skills par kam karo or skills upgrade karte raho. At the end inshallah ap ko buhat ziada kamyabi mile ge.
Games Khal Kar
Ya wo kam hai jo ap karo gay, Ap ko paisa be mile gay or maza be aye ga. Keu kay is feild mein ap nay sirf ya karna hai kay ek acha sa device lay lo. Us kay bad ap nay ek game decide karna hai. Jo ap ko buhat achi lagti ha ya trending ho.

Jaisa Pubg, Call of Duty, Clash of Clans is mein say koi be game. Jo ap select kar lo, us kay ap game ko khalna seakh lo. Us kay bad jab ap ko lagta hai kay ap us game mein master ho chukay hai. Tab ap us game kay competition main participate karna start kar do.
Har game kay buhat ziada competitions hotay hai. Jaisa pubg ka pakistan kay level par be competition hotay ha. OR international level par be. AP nay just apni team bananai ha or un competition mein khalna hai.
Agar ap jeet jaty ho to ap ko buhat ziada paisa mile gay. Pubg ki example mein nay is leya le hai. Kay har koi pakistan mein janta hai pubg kay bary mein. To agar ap be pubg player ho to ap sirf game na khalo us say paisa be kamow.
Social Media Management
Last skill social media management hai. Jis ko ap use kar kay online paisa kamo gay mobile use kar kay. Is mein ap nay sirf karna kya hai kay har ek social media seakhna hai. Jaisa facebook kaisa kam karta hai. Instagram kaisa use karta hai.

Isi tarah youtube, Snapchat, linkden sary social media seakho. Kaisa use karna agar ap ko nahi pata. Lakin agar ap kay pass Smartphone hai to ap ko already pata ho ga.
Kay ya sary social media kaisa use karne hai. Jo be ap ko social media aty hain well and good. Baqi jo be ray gay hain un ko ap seakho. Kay is par post kaisa karni ha, SEO kaisa karni hai, Copywriting kaisa karni hai.
Ya sara kuch jab ap seakh lo gya us kay bad ap apny leya clients find karo. Wo ap freelancing marketplaces say lay sakta ho. Sari Market places already ap ko mein nay batata de hai. Lakin Agar ap ko nahi milty clients freelancing market place say.
To sary clients social meida say lay sakta hai. Social media marketing apny leya kar kay.
Conclusion
Ya 5 tarika hain sab say best or free mein. Jin ko use kar kay mobile say paisa kama sakta ho. In kay alwa be buhat sary ways hain. AP koi be use kar sakta ho jo be ap ko acha lagta hai. Or jaisa jaisa ap online industry mein agy jow gay.
AP ko buhat sary ways milte jaye gay. Or jaisa jaisa ap earning karo. Ap apny system build karo or koshish karo passive income steam line build karne ki. Passive income hota hai wo income jis par ap ka ziada time nahi lagta. Ek dafa kam kar deya Or ap ko paisa ata rahta hai.
Bas ajj kay article mein itna he ab mein is article ko wrap up karte ho. Mujy umeed hai kay ap ka question Mobile se paise kaise kamaye in pakistan clear ho gya ho ga.
Thanks for reading.
Regards,
DH Founder of Moneysiren

My name is DH and I am from Pakistan. I have 5 years of experience in digital marketing and SEO. I have done similar types of work on my blog and also for other clients. Now I make Money siren. A blog Where you learn how to make money online.
So beufull nice app and best moneysiren
Thanks brother