Table of Contents
Agar ap online paisa kamana chahty ho to ap ko ya sekhna pary ga kay online paisa kaise kamate ha. Jo kay buhat asan ha. agar ap asan ways talash ka rahy ha to is article ko pora parna keu kay is article mai me ap ko kuch Online paise kamane ka tarika in pakistan Batu ga.

Lakin is say pehly kay main ap ko sedha ways ki taraf lay kar jow. sab say pehly mai ap say kuch batye karna chahta ho jo ap kay kam aye ge. Keu kay muje 5 saal ho gay ha online kam karte hoye. Mai nay buhat sare blogs bane ha or un say buhat ziada paisa kamya ha.
Is article main jo be ways ap ko batye ha wo sab main kar chuka ho. Agar ap online buhat lambay arsay kay leya paisa kamna chahty ho to ap ko kuch cheezay yaad rakhni pary ge. Ek online say piasa kamana koi itna asan nahi. Asan sirf us kay leya ha jis nay is feild main time lagya ha.
Dosi baat kabi be ap nay shortcut layny ki koshish nahi Karni. Agar ap chahty ho kay ajj kam karo or sari zindgi paisa kamta raho internet say.
Ya do tips yaad rakhna ap sidha chalty ha ways ki taraf jin say ap online paisa kama sakty ho.
Online Paise Kamane ka Tarika in Pakistan
Online paisa kamane ka buhat sary tarika ha. Is article mai me ap ko fast or asan tarika bato ga. Or ya sab method wo ha jis main kam say kam investment ya koi aisa way nahi ha. Jis main ap nay investment karni ha phr ap paisa kama sakho gay.
Ya sare kam skills base ha is ko karnay kay leya ap ko skills sekhna pary ga. Jo kay sab say asan ha skills ap online eaisly seakh sakty ho. Jo kay ap ko mai batu ga.
1. Freelancing [ Fast & Active way ]
Freelancing Online paise kamane ka tarika sab say asan ha. Keu kay freelancing main ap nay skills sekhna ha. ya agar ap kay pass skills ha to ap nay start karna ha freelancing karna. Sab say pehle baat karte ha freelancing hota kea ha freelancing hota ha kisi kay leya kam karna or us kay badle main paisa layny.
Ab baat karty ha freelancing start karny kay kon kon say steps ha.
How to start Freelancing in Pakistan
- Skill seakhna
- Portfolio Banana
- Freelancing plateform join Karna
Ya 3 simple steps ha jin say ap ka freelancing main career start ho jaye ga. Sab say pehle start karty ha skills kea ha or kon kon se skills ap ko sekhni chahy. Buhat sari skills ha lakin sab say jaldi “Article Wrtiting or Video editing” Seakh sakty ha.
Keu kay video editing main ap nay kuch software seakhna ha jin ko use kar kay ap nay logo ko video editing kar kay deni ha. Or article writing mai ap nay kuch nahi karna agar ap ko English ati ha to Kuch basics seakhna ha jis mai ek month he lagy ga.

In kay alawa “SEO, Social Media Marketing, Affiliate Marekting, WordPress Development, Graphic Desiging, Amazon VA ” Ya skills ha. In kay alwa be buhat sari ha.
Dosra step ha portfolio build karna. Portfolio hota ha jo kam ap say previous kea ha wo hota ha portfolio. Start mai ap kay pass clients nahi ha or begiar portfolio kay koi ap ko kam be nahi day gay. Us kay leya ap ko kana pary ga portfolio build.
Sab say asan tariqa ha Facebook groups buhat sare groups ha online facebook mai jis par ap ko buhat sare bande mile gay. Ap un kay Leya starting mai free me Kam Kary paiso kay bagir is say ap ka portfolio build ho ga. Phir jab ap kay pass Kuch 10 say 15 portfolio sample ho Jaye.
Phir ap ka kam ha freelancing plateform par ja kay apni profile setp karna or paisa kamana start karna. Keu kay portfolio ap kay pass pehly he ho ga to ap ko projects mila jaye gay asani say.
2. Blogging [ Passive way ]
Blogging dosra tarika ha jo mian nay Online paise kamane ka tarika in pakistan ki list main add kea ha. Is method mai ap ko buhat ziad aram say tahamal mizaji say kam layna pary ga. Keu kay blogging main ap ko buhat ziada time lagy ga paisa kamane me.

Lakin is ka matlab ya mahi kay ap ko paisa kam mile gay. Blogging mai freelancing ki tarah paisa jaldi nahi milta par freelancing say ziada paisa ha blogging mai. Keu kay muje 5 saal ho gay ha paisa kamte howye online. Or me nay paisa sab say ziada blogging say he kamay ha.
Is say pehle kay mai ap ko ya batu kay ap blogging say paisa kaise kamye gay. Sab say pehlye baat karte ha kay blogging hota kea ha. Blogging hota ha apni websites bana kay un par articles likhan jis say ap paisa kamo gay.Blogging main time is waja say lagta ha keu kay ap ko apni sites par articles likhny hoty ha.
Jin articles ko ap google par rank karwate ho. Jis say ap ko traffic ati ha. Is process ko kahta ha SEO ( Search engine optimization ). SEO he tarika ha apni website ko google mai rank karwane ga. Agar ap nay lambe arsay kay ley paisa kamana ha to ap ko seo sekahna pary ga.
Mai khud kam aza kam 10,00000 kama raha ho online. Or buhat sarye mere aisa dost ha jo is say be ziada kama rahy ha. Sirf blogging waqat mangti ha or agar ap nay is ko waqat deya. to phir any wale waqat mai ap ko koi be rok nahi sakta. Online lakho kamane say.
3.Youtube Channel [ Passive Way ]
Youtube channel ek passive way of income hai ap start karte ho. Ap kuch be earning nahi karte lakin jab ap ki audiance build hoti hai. Tab ap is ways se buhat ziada earning karte ho.

Jaisa ap blogging main articles likhaty ha isi Tarah ap ko jis bare main be knowledge ha. US par ap videos banate ha or youtube channel par share karte hain. Agar ap ney is feild mein ana hai to ap ki koi be investment nahi hai. Ap 0 RS se youtube par kam shuru kar sakta ho.
Sirf ap ko ek email ID chahy us kay bad ap ka kam start ho jaye ga. Bas phir video bante jow or upload karte jow jab ap kay channel par 1000 Subscribers or 4000 hours watch time ho Jaye ga. AP kay channel ki monetization on ho jaye ga.
Youtube Channel par kam Kaisa kare
Youtube channel do tarah ka hote ha ek jis main apka face show nahi hota. Dosra jis main ap ka face show hota ha. Agar ap ka motive paisa kamana ha youtube say to sab say asan ha. Just ek faceless channel bano buhat sare ideas ha jaisa facts, Stories types channel.
Is tarah ka channel bhat jaldi grow be ho jate ha. Lakin is tarah kay channel say ap ko koi nahi janta ho ga. Jo kay sab say bara masla ha. Ab baat karte ha dosray tarah kay channel ki. Is channel mein ap apna face show karte ho. Is tarah kay channel say na he ap paisa kamaye gay.
Balkay jo dosri cheez ap ko milaye ge wo ha fame ap ko log jany gay jo ap kay fans ha. Agar ap ko doniya janti ha to ap kay leya ya ho ga kay agar khuda na kary ap ka channel band ho jata ha. Ap new bana sakty ho ap ki face value ho ge log ap ko phir follow kar lay gay.
Lakin agar ap ka faceless channel ha or to block ho ga tab ap ko buhat kam log jante ga. Ap ka channel nahi to kisi or ka he sahi wo kisi or ko follow kar lay gay. Isi leya mera mashwara ha channel banaana to face wala jis say ap famous be ho or paisa be kamaye.
4. Affiliate Marketing [ Easy way to make money ]
Affiliate marketing sab say behtareen tarika ha online paisa kamane ka. Lakin Sab say pehly baat karte ha kay affiliate marketing kea ha or is say ap paisa kaisa kama sakty ha.

Affiliate marketing ha kisi kay products sale kar kay apna commission layna. Ajj kal log ziada tar Amazon affiliate marketing kay barye main lagy pary ha. Keu kay 2022 main Amazon affiliate marketing ka craze buhat tha. Ismail blogger ki waja say.
Keu kay sir nay buhat sary pakistani logo ko batya ha kay amazon affiliate blogging kaisa karni ha. Ya buhat asan tariqa ha blogging say paisa kamane ka. Main yaha kuch ap ko amazon affiliate marketing kay bare mai bata dayta hon phir me direct ap ko lay kar chalo ga kay ap ya start kaisa kar sakty ho.
Amazon Affiliate Kya hai
Amazon ek international platefom ha. Jaha say ap koi be cheez buy kar sakty ho. Amazon ka ek Program ha jis ka name amazon associates ha ap nay ya platform join karna ha. Phir us kay bad ap amazon say jo be product sale karwao gay ap ko us ka commission mile ga. Or Amazon blogging me ap products par review types articles likthy ha.
Un reviews articles main ap links laga dayty ha amazon kay products ka jis par ap nay review likha ha. Or phir jab koi ap ki site kay link say buy karta ha ap ko commission milta ha. Ya ha amazon affiliate marketing ab baat karte ha ap affiliate marketing kaise start kar sakty ha.
Affiliate marketing ka maza tab ata ha jab ap kay pass ek acha khasa audience base build ho. Keu kay affiliate marketing tab ap buhat easily kar sakty ha. Or dosry baat affiliate marketing ek monetization method ha. AP nay affiliate marketing ko apni niche main add karna ha.
Affiliate marketing kay base par apni niche change Nahi Karna.
5. Selling Products & Courses
Selling products is a also fast way like freelancing isi leya main nay isy Online paise kamane ka tarika in pakistan ki list main add kea ha. Is method mai ap nay sekhna kuch nahi. Just ap kay pass koi products hony chahy wo kuch be ho sakta ha. Online courses, physical products.

Agar ap nay koi course banya ha to sab say best platform ap kay pass ha udemy. Jis par ap apna course sale kar sakty ho buhat asani say. Or agar ap kay pass koi or physical products ha to pakistan main sab say easy platform daraz ha.
or agar ap international sale karna cahty ho to sab say best platform Amazon ha. Jis ka ajj kal craze be ha har koi chah raha ha kay amazon par start kar kay buhat jaldi million kama lay. Jo kay itna asan nahi ap ko sab say pehly products find karny pary gay.
Agar ap investment kar sakty ha to ap kary lakin mere Mashwara ha SAAS products bane keu kay is tarah kay products ap bana kay buhat jaldi paisa kama sakty ha. SAAS products hoty ha online software base products koi be online tools jo har koi use kar saky. Jaisa kay main nay ek tool banya ha Online JPG Converter. Is tool ki madad say ap JPG images convert kar sakty ha.
AP nay isi tarah kay products build karny ha agar ap kay products premium howaye to log ap ko pay be kary gay un products ko use karny kay leya. Jaisa kay Ahref and semrush jo kay SEO Kay buhat bary tools ha jin ko ap nay buy karna hota ha. Ya be tools ha online jis ko use karny kay log paisa dayty ha.
Free Paise Kamane ka Tarika
Sab se pehli baat ap nay ya yaad rakhni hai kay. Ap nay online earning kay name par kisi ko be paisa nahi dayny. Keu kay online ki ziada tar feild mein koi be investment nahi hai. Jaisa kay agar ap freelancing start karte ho to ya sab se best free paisa kamane ka way hai.
Just is mein ap nay skill seakhna hai or jab ap freelancing plateform join karo gay. To wo plateform ap say koi be paisa nahi latay.
Ap just start karte ho free mein lakin jab ap freelancing marketplace se earning karte ho. Tab ap us mein se jo be ap kamate ho 20% marketplace ko day daitay ho. Isi tarah ap youtube channel be free mein banate ho or jab ap ka channel grow karta hai ap us se eaning karte ho.
Lakin blogging mein ap ko just kuch $35 tak investment chachy. Keu kay ap nay apni website banani hoti hai. Us kay leya ap ko investment chahy hoti hai. Lakin ap thora learn kar lo to ap free mein he earning start kar sakta ho.
Inshort agar ap chaho to ap internet se free mein paisa kama sakta ho. Just ap ko learn karna pary ga detail mein har cheez ko.
Final Thoughts
Ab baat karte ha kuch cheezo kay bare main jis main sab say pehle ha. Affiliate marketing jab be ap kary to koshish karni ha affiliate marketing ko apny niche main add karny ka. Keu kay affiliate marketing say ap buhat ziada paisa kama sakty ha.
Isi leya kabi be koi be site or koi be cheez ko jab be promote karna apni niche kay related he karna. Dosry baat kabi be pasio kay leya koi be aisa product kabi be sale nahi karwana jo ap kay audiance kay related na ho.
Agly baat koshish karo audience builds karny ke jis ka sab say best method ha youtube channel or blogs. Keu kay jab ap ki sunnay walay ho gay to ap kuch be kar sakty ho. Kuch be asani say affiliate products promote, apny courses or products.
Isi leya agar online industry say paisa or fame layna ha to channel banow or wo be face wala. Jis say ap buhat paisa kama sakho.
Ya kuch tips ha jo main ap ko dayna chahta tha. Ab is article ko wrapup karty ha. Main umeed karta ho ap ko article passand aya ho ga. Agar passand ata ha to ap ka shukrya.
Must Read: Earn money online in pakistan for Students
FAQS
1. Online kam karne wala app
Abi tak koi aisa app nahi available market mein jis say ap earning kar sako
2. Kya online earning hoti hai
G bilkul agar ap sahi tarah apna time invest karo or sahi cheezo ko seakho to ap free mein earning kar sakta ho.
3. Active way or Passive way mein kya farak hai
Active way wo hotay hain jin par daily kam karo gay to ap paisa kamow gay. Jaisa freelancing agar clients ho gay to paisa. Lakin passive way wo hai jin mein ap ek dafa kam karta ho phir ap ko us se earning hoti rehti hai.
Share karo Apne Dosto kay sath

My name is DH and I am from Pakistan. I have 5 years of experience in digital marketing and SEO. I have done similar types of work on my blog and also for other clients. Now I make Money siren. A blog Where you learn how to make money online.
bhut bhut shukria Sir g…Plz ap hme b kio kaam den…
G brother kya seakhna hai
Assalamualaikum. G mujhe online earning krni hai.
Yes brother Main ap ki help kar sakta ho