Paise kamane ka tarika in Pakistan 2023 [Ultimate Guide]

Agar ap online paisa kamana chahty ha. Lakin ap ko ya pata nahi kay kaisa online paisa kama sakta ha. To tension nahi layni is article main ap ko mai batu online Paise kamane ka tarika in Pakistan. Jab ap online ki baat karte ha. To is main buhat sare tarika ate ha.

Paise kamane ka tarika in Pakistan

Lakin jo tarika main batu ga paisa kamane kay wo sab say asan ho gay. Or 100% ap un ways say paisa kama saky gay. Lakin is main ap ko kuch cheezay seakhni ho gai jo ap ka kam asan kar day ge.

ysence

Lakin iss say pehle apko main direct ways ki taraf lay kar jow. Main ap ko kuch cheezay batana chahta ho. Jis ko use kar kay ap paisa kama sakta ho. mai ap ko kuch cheezay batana chahta ho jo ap kay buhat kam aye ge. Sab say pehle ya kay online kam main investment nahi ha.

Sirf un ko chor kay jis main ap koi products build karte ha jo ap kay pass ho. Baqi jo be kam hai un main investment nahi ha. Ya ap ko main isi leya bata raha ho kay pakistan main buhat sare aisa scam hota ha jo ap ko online ka lalach day kay paisa lay kay bagh jate ha.

Jaisa kay kuch time pehle ek ordergo name ka scam aya tha. Jis main logo nay paisa dala lakin mila kuch nahi. Isi leya in scam say door rehna chahy. In ko MLM scam bolte ha jin ka maqsad sirf ap ko lotna ha. Ab baat karte ha kay ap kaisa paisa kama sakta ha online.

Must Read:
Internet say paisa kaisa kamaye

Earn money online in pakistan for students

1. Freelancing

freelancing sab say asan online Paise kamane ka tarika in Pakistan Ha. Keu kay is ko seakhna asan ha or phir is say paisa kamana or be asan. Freelancing main ap nay bas karna kea ha kay kuch skills seakhni ha. Jin say ap logo kay leya kam kar sakta ha or paisa kama sakta ha.

freelancing

Freelancing hota ha kisi dosry kay leya kam karna or us say paisa kamana. Lakin freelancing kay ley ap nay skills seakhny ha. Buhat sary skills ha jo ap seakh sakta ha lakin is main ap ko ya deakhna pary ga kay ap ka intrest kis main ha.

Keu kay agar ap intrest kay related kam karye gay to ap buhat asani say paisa kama saky ay. Lakin agar ap nay koi aise skill utha li jis main ap ko intrest nahi. To ap kuch nahi kar skata isi ley sab say pehla kam ap kary kay apna intrest find kary.

Ab ap kahy gay kay wo kaisa find karye. Tension na lay main ap ko batata ho kay ap apna intrest kaisa find kar sakta ha. Main ap ko kuch cheezay bata ho kay ap kaisa apna intrest find kar sakta ha.

Must Read:
Online Freelancing Courses in Pakistan

How to find Areas of interest

Sab say pehele ek paper or pen lay or ya likhay ky ap ki hobbies kea ha. Ya ap ko passand kea ha us kay bad next ap deakhy kay kon sa kam ap easily kar sakta ha. Phir jab ap ko ya cheezay mil jaiye to ap easily skills ki taraf ja sakta ha.

Lakin phir be agar smajh nahi a rahi to ap har industry kay bare main information hasil kare. Har industry kay bare main pary kay graphic designing kaisa kam karte ha. Programming kaisa kam karte ha, digital marketing kea ha. Us kay bad jis feild main ap ko maza aye us main chale jaye.

Main nay be isi tarah har industry ko explore kea us kay bad mujy SEO feild main maza aya. Isi leya main nay seo ko apni skill banaya or is say main paisa kama raha ho. keu kay jab ap nay wo skill find kar ley jis main ap ko maza ata ha. Tab ap buhat sary ways nikal lay gay online Paise kamane ka tarika in Pakistan.

Pehle main nay SEO say freelancing ke us main buhat paisa kamaya. Phir 2 saal bad main nay apna blog start kea jo buhat ziada sucessful ha. Us kay bad buhat sare blog start kea jis main say ek ya be ha. Jis par ap ya article par rahy ha. Ab main ap ko kuch skills bataata ho.

High demanding Skills

Ab baat karte ha high demanding skills ki keu kay skills he say ap nay paisa kamane ha. Lakin is main baat ya ha kay jo skills ap nay select karni ha wo high demanding honi chahy. Aisa nahi karna kay jo skill ap select kary us ko koi be search na kar raha ho.

Keu kay freelancing say paisa ap tab kamaye gay jab ap aise skills seakhy jis ki demand ho. Or buhat kam logo nay seakhi ho keu kay high demanding say ap paisa nahi kama sakta.

Wo feild chuny jis main ana easy na ho jaisa programming. Programming main har koi nahi a sakta. is say paisa kamane kay leya ap ko proper programming seakhni ho ge. Or koi be asani say programming nahi seakh sakta apply to buhat door ke baat ha. Isi leya main ap ko kuch high demanding skills batu ga. Jis say ap paisa kama saky.

1. Graphic Designing

Jab koi be freelancing ka sochta ha to us ko sirf ek he skills nazar ati ha wo ha graphic designing. Lakin is ka Matlab ya nahi kay graphic designing say ap paisa nahi kama sakta. Buhat sare freelancers ha jo graphic designing say paisa kama raha ha.

Lakin graphic designing ka Matlab ya nahi kay ap coral draw seakhy or hud ko graphic designer kahy. Agar ap nay graphic seakhni ha to har plateform seakhna ha. Coral draw, photoshop, canva or is kay alawa ap ya be seakhy mobile par kaisa banate ha graphics.

2. Digital Marketing

Digital marketing sab say best Paise kamane ka tarika in Pakistan ha. Keu kay main hud ek digital marketer ho. OR muj say behtar ap ko koi be is feild kay bary main nahi bata sakta. Is leya main nay ya skill add ke ha is list main. Digital marketing kay buhat sary sectors ha. Jaisa,

  1. SEO
  2. PPC
  3. Social media marketing
  4. Affiliate marketing
  5. Email Marketing
  6. Content Marketing
  7. Mobile Marketing
  8. Influencer Marketing

Ya 8 main fields ha digital marketing main ap in main say koi be seakh kar is say easily paisa kama sakta ho pakistan main. Main SEO or content marketing Expert ho. Inshallah, jab ya website buhat ziada grow ho jaye ge tab main is par hud ko reveal kar don ga.

Yaha main ek baat bolo ga wo ya kay agar ap ko marketing karna ata ha. To ap kuch be kar sakta ho jaisa kay mere apny buhat sare blogs ha jin say main buhat achi earning kar layta ho. Isi leya main strongly ya skill recomend karta ho. Blogging kay alawa freelancing main be is skills say ap paisa kama sakta ho buhat sara.

3. Video Editing

Video editing seakhna koi mushkil nahi agar ap sab say fast koi skill seakhna chahty ho. Wo video editing ha is leya main sab ko ya recomend karta ho. Lakin video editing ka matlab ya nahi kay ap buhat fast income kar lay gay. Video editing seakhna is leya asan ha keu kay is main ap nay 1 he software seakhna ha.

Isi leya main personaly buhat sare aisa freelancers ko janta ho. Jo video editing say buhat acha khasa paisa kama rahy ha. Isi leya main ap ko bata raha ho video editing kay bare main.

4. Article Writing

Article writing video editing say be fast skill ha. Is leya ap is say be earning kar sakta ha. Video editing main ap nay software seakhna ha is main ap nay kuch nahi seakhna. Just ap ko basic English aani chahy phir ap article writing kar sakta ha.

Article writing yahi ha is main ap nay sirf English or kuch roles seakhny ha. Jis say ap paisa kama saky. Article writing ek passive skill ha. Passive skills wo skills ha jis main ap ko ziada mehnat karne ki zaroorat nahi client ko. Is main ap nay ek he dafa clients find karne ha.

Jo ap ko long term work dayty rahy gay. Keu kay articles bloggers likhwate ha or bloggers apny blogs or daily basis par update karte rehty ha.

5. Apps & software developers

Apps and software developer buhat ziada Paise kamane ka tarika in Pakistan ha. Or ya wo feild ha jis main har koi easily enter nahi ho sakta. Is main entry kay leya ap ko buhat ziada parna or coding languaes seakhni pary ge. Jaisa HTML, CSS, Javascript, Java, Python, Ruby, C# and C++.

Ya kuch coding languages ha in kay alawa be buhat sari zubany ha. Jin main ap buhat ziada paisa kama sakta ho. is feild main ap buhat asani say paisa kama sakta ho. is kay alwa agar ap europe main kam karna chahty ho. TO ya wo skill ha jo apko europe lay kar ja sakti ha.

How to start Freelancing in pakistan

freelancing start karne kay 3 tarika ha jo ap ko bata day ho. takay ap easily freelancing start kar saky. Jis say ap easily paisa kama saky.

Skill seakhna: Sab say pehla step ha skill seakhna jo sab say mushkil ka ha. Lakin agar ap is ko easy kar sakta ha wo is tarah kay agar ap wo skill find kar lay. Jo ap easily seakh saky ya ap apna area of interest find kar lay. Phir boom ap jaldi seakh jaye gay freelancing.

Portfolio Build Karna: Next step ha portfolio bana skill seakhny bad ap nay sab say pehle practice karni ha. Us kay bad ap nay portfolio build karna ha. Jo ap easily facebook groups main ja kay bana sakta ha. Bas freelancing-related groups join kar lay. Or logo ko free kam ka kay day.

Join freelancing platform: Last step ha portfolio builds karne kay bad freelance platform join karna. Buhat sare plateform ha jo ap join kar sakta ho. Jaisa Workchest, Fiverr, Upwork, freelancer. Ya plateforms ha jin ko ap join kar kay kam kar sakta ho. Main agar recommends karo to wo upwork ha.

Keu kay main nay apna career us say start kea tha. Or sab say easy platform or bonce baat ap is say high pay or legit clients lay gay. ya 3 step ha jo ap use kar kay freelancing start kar sakta ho.

2. Blogging

Dosra way ha online Paise kamane ka tarika in Pakistan blogging. Agar ap kam kam kar kay ziada paisa kamana chahty ha to blogging sab say acha tarika ha. Jaisa kay main nay batya ha kay main nay apny career kay starting main freelancing ke thi.

Blogging for Paise kamane ka tarika in Pakistan

Lakin ab blogging kar raha ho. To main ap ko bata sakta ho kay ap kaisa blogging kar kay paisa kama sakta ho. Blogging hota ha kisi be content ko writing ki form main apny blog par submit karna. Lakin blogging main ap ko investment ha.

Blogging free nahi ha is main ap ko domain or hosting layni parti ha. Or dono par maximum kharcha aata ha 35$ tak. Isi ley ap ko kuch paisa chahy is ko start karne kay leya. Par agar ap jogar kay lay paisa to ap us industry main kadam rakhy gay jis main buhat paisa ha.

Hostinger

Blogging main ap nay ek bar he mehnat karni ha or blogs likhny ha. Phir wo blogs ap ko lifetime paisa kama kar dayty rahy gay. Lakin us kay leya ap ko kuch skills seakhni pary gi. Wo ha SEO, Article writing, Content marketing. Ya 3 or sath kuch choti moti skills ha.

Ab main ap ko batat ho ap kaisa blogging start kary gay or is kay steps kon kon say ha.

Must Read:
How to start a blog in pakistan

Niche select karna

Blog banane say pehle ap ka sab say pehla kam ya ha niche select karna. Niche hota ha niche hota ha ap ki website ka seed topic. Kay kis topic par ap ki website ha. Jaisa moneysiren ka main topic ha earn money related topics.

Is tarah ap nay apna topic find karna ha. Niche ap nay soch kar select karni ha keu kay niche he sab say main cheez ha blogging main. Agar ap nay niche galat select kar ley to ap ka blog kabi be acha rank nahi kary ga.

Isi leya ap ko main bata raha ho sab say ziada zoor isi cheez par do. or jo niche ek dafa select kar ley us ko change nahi karna. Ho saky to apni niche ko micro karo. Micro niche hota ha kisi niche to detail main lay jana.

Jaisa agar niche ho laptops to micro niche ho gi HP laptops, Dell laptops, and Lenovo laptops. Is main ap nay kaha kay meri niche ha laptop lakin main start main Sirf HP laptops par likho ga. Isay kahaty ha Micro Niche.

Domain name select karna

Niche select karne kay bad ap nay domain name select karna ha. Domain hota ha ap ki website ka name or us kay sath koi be an extension. Jaisa youtube.com, moneysiren.pk, facebook.com. is kay alwa be buhat sari extension ha.

Ap nay name apni marzi say rakhna ha lakin name aisa hona chahy. Jis kay social media pages available ho. Keu kay agar bad main ap nay apni website ko brand bana howa to phir ap ko apni site kay name par social media pages chahy ho gay.

Hostinger

Ab baat karte ha ap ko domains ko say type ki layni chahy. 3 tarah ki domain names hoty ha 1st ha Branded domains. Is tarah kay domains jo hoty ha in names ka koi matlab nahi banta lakin jab kisi niche say attach hoty ha. to in ka maqsad ban jata ha? jaisa Facebook, CNET wagira.

2sri type hs PMD domains in domain me ap ki niche ata ha. For example Agar ap ki niche ha laptops to ap ki domain me word laptop aye ga. Jaisa laptopgreeks.com, Laptopsguide.com, and laptopsvilla wagira. the last type ha EMD is the main ap ka pora exect keyword ata ha. Jaisa bestlaptopsforstudents.com. Ab ap par ha ap kon sa domain buy karte ha.

Buy Hosting and domain

Domain name select karne kay bad ab ao nay domain or hosting buy karni ha. Hosting jo main ap ko recommend karo ga wo ha hostinger. Keu kay main is ko 2 saal say use kar raha ho. Hostinger sab say achi or cheap hosting ha.

Is leya main ap ko recommend karo ga. AB ap pochy gay hosting keu chahy or hosting ha kea. Hosting hota ha ek online server jis par ap ki website ka data hota ha. Zahri baat ha agar ap ko apni website ko 24/7 online rakhna ha. To ek server chahy jis par ap apni webiste ko host kary gay.

Website setup or article writing

Hosting or domain layny kay bad ap ka next step ha us ko setup kar kay customize karna. Or jab ap ki website customize to well design ho jaye. Tab ap ka next kam ha us par well-researched article likhana. Article likhny kay leya ap ko SEO or article writing seakhni pary gai.

Keu kay SEO say ap aisa keywords find kary gay jin par ap nay apni website rank karwani ha. Keu kay SEO webiste ki ranking kay leya zaroori ha. SEO process ha apni website ko optimize karne ka takay apki site google par rank kare.

Begair SEO kay website banan ya article likhny ka koi faida nahi. Keu kay wo rank kary gay he nahi, isi leya ap ko SEO seakhna pary ga. Takay ap apni webiste ko eaisly rank karwa saky.

3. Youtube

Youtube sirf online Paise kamane ka tarika in Pakistan nahi ha. Is say ap paisa be buhat ziada kama sakta ha or sath sath ap ka apna brand be build ho ga. Or ap ki face value bany ge agar ap nay proper kam kea agar youtube channel par.

Youtube channel

Jaisa mera be youtube channel ha lakin us par main daily active nahi rehta. Lakin agar ap apny youtube channel par proper kam kare or active rahy gay. To ap buhat jaldi grow kary gay or is say buhat ziada paisa kamaye gay.

Ab main ap ko bata ho kay ap apna youtube channel kaisa banye gay. sab say pehle ap nay niche select karna ha. Keu kay blogging main is niche or youtube main be niche buhat important ha. Youtube niche select karne kay bad.

Ap Nay ya deakhna ha kay ap nay videos kon say format main banani ha. Keu kay ap do tarah say videos bana sakta ha youtube par.

Ways to make videos on Youtube

Youtube par videos banane kay 2 tarika ha ek voice dosra face. Voice main ap nay apni voice he records karni ha jis main ap nay apny topic kay related baat karni hoti ha. Or bad main us ko edit kary ha or voice par kuch stock footages or images use karte ha.

Ap nay buhat sare channel deakhy ho gay jo sirf voice over channel he chahlaty ha. Is leya us channel say ap sirf paisa he kama sakta ha. Ap ko koi be nahi jane ga ap ki face value nahi banye ge.

Dosra type ha face channel is main ap channel banate ha. Jis main ap camera kay samne a kay videos banate ha. Is tarah kay channel main ap ki face value be banti ha or ap paisa be kamate ha. Muj say agar pochy to main ap ko face channel recommend karo ga.

Keu kay face channel say na sirf ap famous ho ga ya paisa kamye ga. Is kay alawa be ap buhat sari skills seakhty ha jaisa camera facing, Communication skill, talking skill. Or is main benifit ya ha agar ap ka channel banned hota ha to ap dosra channel khara kar sakta ha. Voice wala nahi kar sakta.

4. Affiliate Marketing

Affiliate marketing Paise kamane ka tarika in Pakistan ha. Lakin affiliate marketing easy nahi ha. Lakin sab say fast way ha paisa kamane ha. Basically, affiliate marketing monetizing method ha. Koi direct way nahi ha.

affiliate marketing for Paise kamane ka tarika in Pakistan

Affiliate marketing hota ha kisi kay product ko commission base par sale karna. par affiliate marketing karna easy nahi. Keu kay is main ap ko sab say pehle proper digital marketing ka koi be method seakhna pary ga. Phir us kay bad ap affiliate marketing kar sakta ha.

Affiliate marketing karne kay do tarika ha ek free or dosra paid. Free main ap nay kisi be plateform par apni audiance build karni ha jaisa youtube or blogging. Jaisa kay main nay batya ha affiliate marketing monetization ka method ha.

Is leya ap ko pehly audience build karne ha. Phir apni niche kay hisab say products promote kar sakty ha. Jab wo product buy kary gay apko commission mily ga. Paid main ap nay jis product ko promote karna ha us ko social media marketing or PPC say promote karte ha.

Must Read:
How to start Amazon affiliate marketing
Scope of Affiliate marketing in pakistan

Conclusion

Ya 4 tarika sab say best tarika ha paisa kamane kay. Lakin is ka matlab ya nahi kay sirf ya he 4 tarika ha is kay alawa be buhat sary tarika ha. Jaisa

  • Ecommerce
  • Online teaching
  • Website selling
  • Dropshipping
  • Product Selling
  • Course Selling

Ya or be tarika ha jo ap istamal kar sakta ha. Lakin 4 jo main nay tarika batye ha ya internet kay wo tarika ha jin ko use kar kay ap lakho kama sakte ha. Isi leya main ap ko bolo ga is 4 main say koi be way choose kar lo or kam karna start karo.

Main umeed karta ho kay ap ko article passand aya ho ga. Agar or mazeed article parnay ha to ap blog par ja kay par sakta ha.

Thanks for reading
Regards,
Dh founder of moneySiren

ysence
Rate this post

2 thoughts on “Paise kamane ka tarika in Pakistan 2023 [Ultimate Guide]”

Leave a Comment