Share kaise purchase kare in Pakistan ( Trade in PSX )

Share market se ap buhat ziada paisa kama sakte ho. Lakin us kay leya ap ko kuch cheezy seakhny ki zaroorat hai. Agar ap nay ya sab kuch seakh leya to ap easily pakistan mein share market se buhat ziada paisa kamow gay. 

Share kaise purchase kare

Is article mein ap kay sath mein ko full detail batu ga. Kay ap kaisa pakistan mein share market se paisa kama sakte ho. Lakin us kay leya ap ko kuch cheezo ko seakhna pary ga. Or ap ko kuch steps ko follow karna pary ga. 

Steps jo ap ko follow karny hain:

  1. Open a PSX account through Broker
  2. Deposit money
  3. Analyse stocks

Ya 4 steps hain, jin ko follow kar kay ap easily pakistan mein share buy kar sakte ho. Lakin ap ko mein kuch cheezay batu ga. Kay account open karne se pehlay ap stock market ko fundamental or technical analyze karna seakh lo. 

Us kay bad ap ko smajh a jaye ga kay stock market mein kis time invest karna hai. Or kis time invest nahi karna. Keu kay agar ap begir seakhy he investment ya trading karna shuru kar do gay. To ap ko acha khasa loss be ho sakta hai. Is leya seakhna zaroori hai. 

Stock Market Kya hai

Stock market ek tarah ka marketplace hai jaha par public company kay shares buy and sale kea jate hain. Lakin ap directly kabi be share market mein trade nahi kar sakte or account be open nahi karwa sakte. Ap nay agar share market mein account open karna hain. 

To ap nay kisi be broker kay through account open karwana hain. Broker hota ha share market mien mujud firm jis kay pass license hota hain share market mein trade karne ka. Or koi be aam banda agar share market mein trade karna chahta hain. 

To sab se pehle us ko ek broker kay sath account open karna parta hain PSX mein. Har country ki apni apni share market hai. Jaisa USA ki hai new york stock exchange, uk ki hain London stock exchange. Isi tarah pakistan ki stock exchange ka name hai PSX ( Pakistan Stock Exchange).

Ab discuss karte hain un steps ko, jis ko use kar kaya ap easily stock market mein trading kr skate ho. 

Share kaise purchase kare

Mein umeed karta ho kay ap ko smajh a gai ho ge kay share market hai kya. Ab mein ap kay sath wo steps share karne laga ho. Jis ko use kar kay ap quickly shares buy kar sakte ho pakistan. 

In steps kay alwa mein kuch important points ap kay sath share karo ga. Jis kay bary mein ap ko janana zaroori hai share market mein enter karne se pehle. 

1. Open PSX Account 

Sab se pehla step hai kay ap nay PSX mein account open karna hai. PSX ka full form Pakistan stock exchange hai. Jaisa kay ap ko mein nay batya hain kay ap directly stock market mein trade nahi kar saktay na account open kar sakte hain. 

Ap ko is kay leya stock market mein mujud brokers kay zarea account open karna hai. Us kay leya sab se pehle apne leya koi acha sa broker select karna hai. Jo ap ki terms apr pora utray, keu kay buhat sary brokers hain. 

Jin ki madad se ap account open kar sakte hain. Lakin sab se zarrori cheez ya hain kay kya wo broker ap ki need to pora karta hai. Ap nay wo check karna hai. Ab mein ap kay sath top share market kay brokers ki list share kar dayta hon. Ap nay un mein se kisi ko pick karna hai. 

NoStock Exchange brokers EmailWebsite
01Ktrade Securitiesmasbukhari@kasb.netkasb.com
02AKD Securities farid.alam@akdsecurities.netakdsl.com
03A.S. Securities as_securities@hotmail.comas.com.pk
04JS Globalkamran.nasir@js.comjsgcl.com
05BMA Capital info@bmacapital.combmacapital.com

Ya 5 sab se best PSX broker hain. Ap is mein se kisi kay sath be apne account ka process shuru kar sakte ho. Just ap nay ek broker pick karna hai or us kay bad un kay representative ko contact karna hain. Ja ap ka rabta ho jaye ga tab ap ko account opening ki requirements baba day gy. Jis ko full fill karne kay bad ap account open ho jata hain

2. Deposit Money 

Account open karne kay bad ap ka agla kam ho ga apne trading account mein deposit  karwana ha. Lakin ap ko ek bar phir bol do begair seakhy mat shuru karna, keu kay agar ap se thori se bi galti hoi to ap ka paisa dhob sakta hai.

Is leya start mein sekho or seakhny kay bad be ziada paisa se shuru na karna. Just ap kuch paisa apne account mein deposit karo. Or us paisa se apna trading ka safar shuru karo. Trading accound mein paisa dalne kay leya, ap nay karna sirf itna hai apne broker kay account mein paisa send karna hain us bank account se. 

Jo ap nay apna account open karte waqat deya hain, us kay bad ap nay recipt apne representative ko dayni hai. Us kay bad paisa ap kay trading account mein a jaye gay or ap trading start kar sakte ho un paiso se. 

3. Analyze Stocks

Paisa deposits karne kay bad ap ka agla kam hai stocks ko analyze karna. Ab sab say zaroori cheez yahi step hai. Keu kay agar ap nay koi be stock aisa he pick kar leya without research. To ap ko nuksan be ho sakta hai. 

Keu kay agar ap nahi jante kisi be stock kay fundamentals and business models. Then ap smajh he nahi sako hay kay key is stock mein invest karna chahe. Is leya ap ya seakho kay ek stock kay business model ko kaisa smajhtay hain. 

Us kay sath sath ap ya smajho kay is business kay fundamentals kya hain. Us kay alawa market psychology smajho us kay bad ap easily stocks buy kar sakte ho. Us kay bad next cheez ap nay ya deakhni hai kay ap nay trading karni hai ya investment. 

Keu kay dono cheezay hoti hain market mein. Ap nay in mein say kisi ek cheez kay uper kam karna hain. Ya dono cheez hain kya ya ap kay sath mein agy discuss karta ho. 

Lakin ya main 3 steps hain jis ko agar ap nay follow kea to ap easily share buy kar, lo gay. 

Lakin is kay alwa be kuch important cheezay hain. Jo mein ap kay sath share karne laga ho. 

Buy your favorite stocks 

Mujy almost 3 saal ho gay hain shares mein trading or investment karte howye. Jis se mein nay ya sekaha hai kay ap paisa tab he kama sakte ho. Jab ap us company mein paisa lagow jis mein ap ko interest hain ya ap us company kay bary mein jante ho. 

Keu kay jis company kay bary mein ap ko knowledge hain ap us company ko easily study kar lo gay. Keu kay study mein ya cheez lazmi deakhni hoti hai kay is company ka product kitna use hota hai. 

Jaisa mere online feild ka alawa medical mein background buhat acha ha. Is leya mein nay jab share buy karna shuru kea. To mein nay pharma company kay shares buy kea. Keu kay mujy ya pata tha kay kon se company ki medicine achi hai or kon se ziada use ho rahi ha. 

Us hisab se mein nay investment ke pakistani company searl pharma, highnoon, Abbott or bun mein. Isi leya ap ko mein recommend karo ga. Kay ap be un companies kay shares buy karo jin kay bary mein ap buhat acha jante ho. 

Trading Vs Investment 

Mein pichle 3 saal se share market mein trading or investment kar raha ho. Dono kara sahi hai lakin kon sa kam karna chahe, or kon sa nahi. Dono mein basic diffrence kya hain. Ya ap ko mein ab batata ho us kay bad ap nay khud final karna hai.

Kay ap ko trading karni chahe ya phir investment karni chahe. Trading hota hain short term share buy karna or phir jab profit ho jaye to sale kar dayna. Trading ki buhat sari iqsam hai jaisa.

  1. Day trading 
  2. Scalping trading 
  3. Momentum trading 
  4. Contrarian trading  
  5. Swing trading 
  6. Position trading 
  7. Algorithmic Trading 
  8. High-frequency trading 

Ya sari trading ki iqsam hai ap nay is mein se koi ek pick karni hai or us ko seakhna hai start mein. Jaisa day trading mein hota hai kay ap share sirf ek din kay leya buy karte ho. Or market band hone se pehle sale kar dayte ho thore se profit kay sath. 

Or investment mein ap apna paisa long term kay leya share mein invest karte ho. Ya time 5 saal ho sakta hain, 10 saal ho sakta, ya phir is se be ziada. Dono kay apne faida hai or nuksaan. Lakin inshort ya hai kay ap ko kya karna chahe. 

Agar ap kay pass time hai to fast earning karni hai. To ap kay leya sab se best tarding hai. Lakin meri tarah ap kay pass itna ziada time hai. Lakin share market se paisa kamana hai to shares mein investment karo. 

FAQS

If you want to purchase shares, Then you will need to open a trading account in the stock market through Brokers

Yes you can buy

Conclusion 

I hope mein umeed karta ho ap ko har cheez ki smajh a gai ho. Is topic par mein nay already english mein is se be ziada detail mein article likha hai. Ap us ko par sakte ho, jis se ap ko mazeed information mil jaye ge share market ki. 

Lakin ap ko ek baat mein batata do agar ap nay sahi tarah se seakh leya kay trading or investment kaisa karte hain. To ap buhat ziada paisa kama sakte ho share market se. Jaisa kay duniya kay sab se bare investor hai warren buffett hai. 

Jin ki is time 2023 kay hisab se net-worth 118 billion dollars hai. Jo ino nay sirf share market mein investment kar kay he kamai hai. Na he sir warren buffett ka koi business hai, or na he wo koi famous person hai. 

Lakin ek cheez jo un kay pass hai wo hai shae market ki knowledge. Jis ki madad se uno nay ya magic kea hai. Kay itni ziada dollat kamai hai, ap be in ki tarah be apni net worth share market se bana sakte ho. Ab mein is article ko wrap up karne laga ho. 

Thanks for reading.
Regards,
DH Founder of MoneySiren 

Share this Post

Rate this post

Leave a Comment