Website banane ka tarika in Pakistan 2023

Website wo cheez ha jis ko agar ap sahi tarika say kam mai lay. To buhat ziada paisa kama sakta ho. Lakin sab say main baat ya ha kay ap website kaise banaye gay. Isi leya main nay ap kay leya ya article likha ha jis main ap ko main website banane ka tarika batu ga. 

Website banane ka tarika

Lakin is say pehle main ap ko batu full process. Main ap ko kuch batata ho kay ap kaisa ek success ful website bana sakta ho. Keu kay website banana sab say asan ha us ko successful banan mushkil ha. Isi leya ap ko main ya be batu ga kay website ko kaisa successful bana sakta ha.

Types of Website

Websites do tarah ki hoti ha ek type ha website or dosri type ha Blog. Blog or website main thora sa farak ha. Website static hota ha jab website banate ha to jo cheez is main likhty ha wohi rehta ha. Kabi be change nahi karte. 

Is tarah ki website businesses ki hoti ha. Keu kay businesses he static websites banate ha. Or dosra type ha blog jo main nay batya ha. Blog ko ap daily update karte ha website daily update nahi hoti. 

Blogs ko koi be bana sakta ha jis main ap information ya koi be kisi cheez kay related content banate ha. Jis say ap paisa kamate ha. Blogging main ap nay yahi process karna hota ha jo main ap ko batu ga is article main .

Hostinger

Website banane ka tarika KEA HA

Ab main directly stat karta ho kay kon kon say steps ha. Jin ko use kar kay ap apna blog ya website bana sakta ha. Is main kuch cheezy ya main tips don ga jo ap use kar sakta ho paisa kamane kay leya. 

Select a Niche

Agar ap nay sird website banane or ap ka business ha to ap nay sidha sidha bana hire karna ha jo ap ko webiste bana kay day. Lakin agar ap nay blog banan ha to ya step ap kay leya buhat zaroori ha. Sab say pehle cheez ha niche,

Niche hota ha kisi be website kay main topics jin par apny articles likhty ha. isi leya niche ap nay wohi select karna ha jo ap ko passand ha. keu kay agar koi aise niche ap nay select kar le jis main ap ko information nahi ya passand nahi.

To ap us niche main articles achi tarah nahi likh saky gay. Or ap ki blog kharab ho jaye ga. Ab baat karte ha types kea ha niches ki. Sab say pehle niche hoti ha General jis main har topic kay related information hoti ha. Like ek he website main tech, reviews, fitness, health, banks, sab ki information hoti ha.

is tarah ki website 2015 main chalti thi. Lakin ab nahi is leya dosri type ha Niche base. Yahi is website ko ap nay ek he topic kay around rakhan ha. tisra type hota ha micro niche. is tarah ki website niche ko micro main ja kay choose karte ha. Jaisa niche ho gai reviews or micro niche ho gi laptops reviews.

Domain Selection 

Niche select karne kay bad agla step hota ha domain layna. Domain hota ha ap ki website ka name or sath exteison hota ha. jaisa moneysiren.pk. Isi tarah ap nay apni website ki domain name choose karna ha. Agar ap ka business ha to ap ka domain business name par he ho ga. 

Lakin agar ap nay domain name find karn ha to ap ko main batata ho. Kay kon kon say types ki domains hoti ha or ap ko kon se domain layni chahy. Sab say pehla type ha brandable domain. Is tarah ke domains jo hoti ha is ka koi name nahi hota ya koi be maqsad nahi hota. 

Hostinger

lakin jab is do kisi niche kay sath jor deya jata ha tab ya name ka us niche main brand banta ha. jaisa cnet, neilpatel, Ahref. Ab is names ka koi maqsad nahi lakin is names ko ham kisi niche ki waja say janta ha. Dosri type ha PMD ( Parasal Match Domain ) is tarah ki domains name me ap ka niche ata ha.

jaisa moneysiren, TechRadar, Healthline. Ya domain apni niches ko zahir kar rahi ha. Ab baat karte ha last type ki jo ha EMD ya domains main pora ka pora keyword ata ha. Jis kay name par ap ka domain ata ha. Jaisa bestseotools.com,  is main total keywords aty ha. Ya 3 types ha domain ki. 

 Select the Platform for your website

Domain name select karne kay bad jo sab say bara kam hota ha wo hota ha platform select karna. Keu kay platform buhat sare ha websites bananye kay leya. Jaisa wordpress, Wix, Blogger. Isi leya sab say pehele ap nay ya cheez deakhni ha ap ki zaroorat kea ha.

Internet main 70% websites wordpress main banti ha. Keu kay wordpress open source CMS plateform ha. Isi leya main be ap ko wordpress recommend karo ga. Keu kay wordpress use karne main easy ha. 

Or sab say bari baat agar ap ko koi be function chahy to easily ap ko wo feature wordpress main mil jata ha. WordPress kay leya buhat sary themes or plugin har roz new a rahy ha market main. Or sab say maze ki baat ap ki seo be wordpress main easy ho jati ha.   

Buy Hosting and domain 

Platform select karne kay bad next jo cheez ap kay kam aye ge wo ha hosting and domain. Domain jaisa kay main nay ap ko batay ha kay ap ki website ya blog ka name ha. Jis kay sath extension lagti ha. Or hosting hoti ha ek online server jis par ap apni website ka data rakhty ha.

Keu kay without hosting ap apni website ko 24/7 live nahi rakh sakta. Isi leya ap ko hosting chahy keu kay hosting ap ki website ko live rakhti ha. Ap apny computer ya laptop ko be use kar sakta ho online server kay tor par.

Lakin ap ko phir apna system har waqat on rakhna pary ga. Jo sab say mushkil baat ha keu kay ap apna system use kar kay kabi be apny blog ko har waqat live nahi rakh sakta. Isi leya ap nay hosting or domain buy karni ha. Main use karta ho hostinger hosting jo mere leya sab say acha kam karta ha. Ap be wo buy kar sakta ho. 

Website & Blog Setup and Design 

Domain or hosting layny kay bad ap nay website setup karni ha. Agar ap nay website design karni ha to ap nay ek designer hire karna ha website kay leya. Jo ap ko website design kar kay day ga. Keu kay website business ki static site hoti ha isi leya ap ko wordpress developer.

Ya jo ap use karna chahty ha CMS us ka designer hire karna pary ga. Lakin agar ap ko hud ata ha website designing then ap buhat asani say kar sakta ho apni website. Lakin agar ap nay blog banana ha to wo sab say easy ha. Ap ko blog kay leya koi be khas knowledge nahi chahy.

Agar ap wordpress use kar rahy ho to ap ko us main blog kay themes chahy. Jo blog kay leya banaye gay ho. Agar ap kay pass paisa ha to ap premimum be lay sakta ha theme jaisa WPAstra, Genratepress, Gensis framework, Newspaper9 ya kuch name ha premimum themes kay.

Lakin agar ap kay pass paisa nahi tab be main ap ko kuch free kay themes bata dayta ho. Jo ap kay buhat kam aye gay jaisa Type, Fairy, Genratepress ( Free Version), WPAstra (Free Version). Ya free kay themes ha jo ap use kar sakta ha easily. 

Start SEO on your website

Website banane ka tarika buhat asan ha lakin us say paisa kamana ya us say failda uthana asan nahi. Lakin ya kam ap ka asan ho sakta ha agar ap SEO seakh lay. AB ap sochy gay ya seo kea cheez ha. SEO mean Search engine optimization.

SEO ek process ha jo ap use kar kay apni website ko search engines par rank karwa sakta ho. Ab ap pochy gay seo ka kea faida ha. SEO ka faida ya ha kay ap ko traffic, sales, customers free main mily gay. Keu kay ap ki website google par rank ho gi.

Us keywords par jo ap ki industry kay related ha or log ap ko dondh kar aye gay. Is say ek ya be faida ha kay jo customer ap ko dondh kay aty ha. Un say paisa ap apni marzi kay lay sakta ho. Lakin agar ap kisi kay pass jow to paisa us ki marzi ka hota ha.

Main nay already article likha ha is par kay ap kaisa seo seakh sakta ho. Wo ap read kar sakta ho. Lakin agar ap nay seo nahi seakhna to ek seo expert hire kar lay. IS main be baat ya ha kay agar ap ki busness site ha tab. Lakin agar ap blogging karna chahty ha to ap ko seakhni pary ge.

Write Articles and Publish content

AB ya jo cheez ha ya website banane main nahi ata. Is say uper jo be share kea ha wo sara ha website banane ka tarika. Ab ya cheez jo ha is main ap ko main batu ga. Kay jo website ya blog ap nay banaya ha. Is par ap traffic kaisa lay lar ayo gay.

Keu kay ya sab say important baat ha customers tab aty ha. Jab ap kay pass traffic ho isi leya ap ko traffic chahy. Traffic ati ha jab ap ka content google par rank hota ha seo say. SEO ka ap ko bata deya ha lakin seo be hoto ha content par.

Isi leya ap ko apni industry kay Related articles likhwaye ya khud likhy. Keu kay ap kay articles he googles main rank kary gay. Or ap ko traffic mily ga easily isi leya ap nay articles lazmi lakhwanye ha apni website par.

Final Thought

Muje takreeban 5 saal ho gay ha is online idustry main or mai pichly 3 saal say blogging kar raha ho. Jis ka matlab ha kay main ap ko bata sakta ho kay website rank kaisa karni ha. SEO to ap nay sekhna ha jo sab say important ha.

Lakin sirf seo seakhna he zaroori nahi seo main ek cheez ha keyword research. Jo ap ko sab say zaroori seakhni pary ge. SEO kahal ha sirf keywords or articles ki. Isi leya main ap ko ziada focus keywords par or articles likhwanye main ya likhny par karna ha.

Ya tha pora atilces is main ap ko mai nay Website banane ka tarika batya ha. Main umeed karta ho ap ko article passand aya ho ga. Is leya meri ap say guzarish ha kay ap mere dosry be articles par sakta ho.

Thanks For Reading
Regards,
Hamza Asghar

Rate this post

Leave a Comment