Website se paise kaise kamaye in 2023 [ Passive Tarika ]

Agar ap be meri tarah websites se paisa kamana chahte hai. To is article main ap kay sath me share karo ga kay ap kaisa website se paisa kama saktay hain.

Website se paise kaise kamaye

Or is kay alwa ap kay sath ya be share karo ga kay ap website kaisa bana sakte ho. Lakin us se pehle ap ko kuch cheezay smajhni pary ge. Keu kay main nay buhat sary logo ko deakha hai.

Jo start kar laytay hain blindly lakin phir jab un ko milta kuch nahi to chor daytay hain. Milta un ko is leya kuch nahi keu kay khud ko upgrade nahi karte. Or jo skills zaroori hai wo skills seakhtay nahi. Is leya ap kay sath kuch skills ki be baat karo ga jo ap ko zarorri hai.

Agar ap website banana chahte ho earning kay leya. Ya baat ap nay yaad rakhni hai kay ap website se buhat jaldi earning nahi kar saktay. 

Keu kay website banana koi buhat bari baat nahi. Ap nay apni website par content be banan hota hain. Is leya ap ko content writing be seakhni hai. Us kay sath sath sab say zarrori skill jo ap ko seakhni hai wo hai SEO. Keu kay without seo ap ki site nahi chal sakti. 

Is leya ap ko ya skills seakhna zarori hai. Ab baat karte hain kay ap website bana kaisa saktay ho. Us kay bad hum chale gay un methods par jis ko use kar kay ap earning karo gay. 

Website kaise banaye

Website banan koi be mushkil kam nahi raha 2023 mein. Just ap ko kuch steps ko follow karna hai. Jis kay bad ap apni website bana lo gay. To ziada ap ka time waste nahi karta seedha chalte hain steps par. 

1. Find Niche [ Topic Select Karna ]

Niche hota hai ap ki website ka topic jis kay around ap Cheezo ko cover karte ho. Jaisa mein moneysiren par paisa kay related baat karta ho. Keu kay mujy 5 saal se ziada ho gya hain mukhtlif ways ko use online and offline earning karte ho. 

To mein nay ya blog is leya banya tha kay ap ko mein wo ways seakha sakho. Jin ko use kar kay main earning karta ho. Isi tarah ap nay be apne blog kay leya koi be topic ko select karna hai. Wo kuch be ho sakta hai mobile reviews, laptop reviews, fitness, etc. 

Lakin yaha par apko ek tip day daita ho kay topic hamesha ap nay wo select karna hai. Jis mein ap ko khud knowledge ho. Keu kay is sa ap kay leya easy ho ga blog ko run karna. 

2. Domain name Select Karna 

Domain hota ap ki website ka name jis kay sath koi be ek extension hota hain. Jaisa meri website ka name hai moneysiren or sath mein jo .pk hai wo extension hai. Isi tarah ap nay apni website kay leya name decide karna hai. 

Jo be name pasand ho ap ko wo ap use kar saktay ho. Lakin ap ko mein extension .com prefer karo ga. Keu kay  .com commercial extension hai jo sab say ziada use hota hai. Baqi ap ki apni choice hai. 

Lakin name koshish karye ga kay branded name ho. Keu kay branded name bad mein ja kay brand ban jate hain. Is leya jab ap ki site grow kare gay to brand ban jaye ge apni niche mein. 

3. Buy domain and Extension 

Jab ap ka domain name decide ho jaye to us kay bad ap nay domain or hosting ko buy karna hai. Domain ka ap ko pata chal gya hain. Lakin hosting hota hai ek server jis par ap ki website ki files pari hoti hain. 

Jaisa meri ya website namecheap ki hosting par hai. Lakin Namecheap kay sath sath mein hostinger ki hosting use karta ho. Is leya pa ko mein name cheap ya hostinger dono recommend karta ho. In dono, mein se ap koi be ap buy kar saktay ho. 

4. Setup WordPress & Customize it 

Hosting and domain buy karne kay bad ap ka agla step hai wordpress ko setup karna. WordPress ek open source CMS ( Content Management System ) hai. Jis ki madad se ap easily apni website ko manage kar saktay ho. 

Or 2023 kay stats kay mutabik 45% websites wordpress use karti hai. Jis ki waja se wordpress ek buhat bara CMS ban chuka hai. Or keu na ho ek non-technical banda be wordpress ko easily use kar kay apni website ko manage kar sakta hai. Or easily content produce kar sakta hai/ 

5. Write Content & Do SEO 

Last step hota hain jo be site ap nay banai ha. Us site ki seo karna or apny content kay leya keyword research karna. Or jaba p ko profitable keywords mil jaye to un keywords par content produce karna.

Keu kay content he say ap ki website par traffic aye ge. Or jab ap ki website par traffic aye ge to apni website par buhat sary ways ko use kar kay earning karo gay. Jis ka zikar mein agy ap kay sath karne laga ho. 

Website se paise kaise kamaye

Agar ap nay batye howaye 5 steps ko sahi tarah follow kea. To ap ki website ready hain online earing kay leya. Ab ap kay sath mein share karta ho wo ways jin ko use kar kay ap be paisa kama saktay ho apni site se. 

1. Ads Placement ( Ads Lagana Apni Website par )

Sab se pehla or sab say first way hota hain apni website par ads laga kaya earning karna. Is method mein ap apni website kar kisi be ads network se approved ho kay ads chalate ho. Buhat sary ads network hai. Lakin sab say popular ads network jo har koi use karta hai. 

Wo hai Google adsence, Lakin is ko use karne kay leya ap ko apni website par approval layna parta hai. 2023 mien adsence buhat ziada nakhray karta hain approval daynay main. Lakin Ap ko mein kuch points bata dayta ho. Ap us ko follow karo ap ko adsence approval mil jaye ga. 

Sab se pehla point ya kay ap ki website par 20-30 high-quality articles hony chahy. Ab quality se murad plagiarism free nahi. Quality se murad wo articles jo kisi be bande ki koi na koi problem hal kar rahy ho. Us kay bad ap ki website proper navigate honi chahy. 

Third ap kay website par 5 main pages hone chahy jo hain [ Privacy policy, Terms, and conditions, Disclaimer, Contact us, About Us ]. Or last ap ki website ka design unique ho. To buhat ziada chances hain kay ap ko buhat asani se approval mil jaye ga. 

Or approval kay bad ap ki site par ads chal jaye gay. Jis se ap ki online earning start ho jaye ge. 

2. Affiliate marketing 

Google adsence kay bad jab apki website par thori se achi traffic ho jaye. To ap apni website par Affiliate marketing kar kay achi khasi income kar saktay ho. Ab affiliate marketing hota hai. Kisi be bande kay products ko commission base par sale karna. 

Buhat sary platforms ap ko mil jaye gay. Jaha say ap apni website kay leya achy khasy commission wale products mil jaye gay. Lakin affiliate start karne se pehle ap ya deakh layna kay kis type kay products ap ki site par easily sale ho saktay hain. 

Agar ap ki website physical products kay reviews kay uper hai. To ap amazon affiliate ko ya daraz kay affiliate programs ko use kar saktay hain. 

Lakin us kay alawa ap ki website kisi or topic par hai. To ap apni website kay leya buhat sary affiliates ko utha saktay ho. Us kay bad ap ko un products ko apni website par share karna hai. Ab main ap ko kuch list day daita ho affiiliate plateforms ki. 

Jin se ap easily apne leya products ko find kar saktay ho. 

  • Cj ( Commission Junctions )
  • Impact 
  • JVZoo
  • WarriorPlus
  • PartnerStack
  • Amazon Associates
  • Daraz
  • Maxbounty

In mein se koi be ap join kar lo or apni niche kay related products ko promote karna shuru kar do. 

3. Sponsored posts 

Is method se ap earning us waqat karte ho jab ap kay blog par ek achi khasi traffic ho jaye. Keu kay agar ap kay pass traffic na ho to koi banda ap ko paisa keu day ga. IS leya ap ko paisa ke bajya apni website ki traffic par focus karna zarrori hai. 

Jis se ap apni website kar leya jitna ziada ho sakay utnay method ko use kar kay online earning kar sako. Sponsored post mein hota kya hain kay ap ki webiste par brands ya koi banda post publish karwata hain. 

Jis se us bande ko instant traffic mil jata hain. Or ap ko paisa mil jate hain. Ab ya paisa kitnay hotay hain. Ya sara kuch depend karta hain ap ki website ki traffic par. Agar ap ki website ki traffic 10,000 per month hai. 

To ap easily ek post ka 10,000 charges karte ho. Or Jaisa Jaisa traffic increase hoti hai. Ap ki earning be increase hoti hai. 

4. Sell Products

Sab say highly profitable method ya hai apne products ko sale karna. Keu kay ap kay pass apni traffic hota hai. To ap us traffic ko easily apne products ko promote kar kay. Achi khasi earning kar saktay ho. 

Ab baat karte hain kay ap ko products ki tarah kay banan chahay. Products hotay hain 2 tarah kay ek digital or dosray physical. Agar ap ki niche physical products ki hai tab to ap ko ziada margin nahi mile ga. 

Par is ka matlab ya nahi kay ap apne products ko promote na kare. Lakin agar ap ki aise audience hai jin ko ap digital products sale kar sake. To ap woha ziada buhat ziada profits nikal saktay hain. Keu kay digitals products jo hain us mein ap nay ek he dafa invest kea hai. 

Or jo be earning ho ge or sari ki sari ap ka profits hai. 

Conclusion 

Ya 4 ways sab se best ways hain apni website say earning karni kay leya. Lakin is kay alwa be buhat sary ways hain. Jin ko use kar kay ap apni website say eaning kar saktay ho. Jin kay sirf name ap kay sath share kar dayta ho. 

Baqi un par ap nay khud he detail nikalni hai. Wo ways hain, 

  • Banner Advertisement 
  • Earn from product reviews
  • Add memberships
  • Create a course for your audience
  • Hire me page 
  • Ask for donations
  • Promote own videos 
  • Become consults / Teacher 
  • Sell other person’s websites

Ap in ways ko be use kar kay apni website kay potential ko maximize kar saktay ho. Lakin ap ko in sab ways se earning kay leya buhat ziada traffic chahy. Is leya ap apni webiste ki traffic par focus karo. Or agar ap nay apni website ki traffic increase karni hai. 

To ap ko SEO or content creation par full focus karna ho ga. Ab mein is article ko wrapup karta ho, Mujy umeed hai kay ap ko smajh a gai ho ge or ap ka question Website se paise kaise kamaye clear ho gya ho ga. 

Thanks for reading.
Regards,
DH Founder of Moneysiren

Share with your family & Friends

Rate this post

Leave a Comment