Table of Contents
2023 mein ap sirf Whatsapp say message he nahi kar saktay. Balkay whatsapp ko use kar ap online paisa be kama sakta ho. Bas is kay leya ap ko kuch ways ko follow karna pary ga. Buhat sary ways hai lakin un mein say kuch is article mein discuss kary gay. Jis kay bad ap ko smajh a jaye ge whatsapp se paisa kaisa kama sakta ho ap.

Yaha par sab say pehle kuch chezaay clear kar dayta ho. Kay aisa koi be tarika nahi hai jis say whatsapp ap ko directly paisa dayta ho. Keu kay whatsapp ek simple messaging app hai. Jis say ap apny family and friends ko message, calls wagira kar sakta ho.
Lakin ap whatsapp ko use kar kay paisa kama saktay ho. In methods ko use kar kay jis ko mein ap kay sath share karne wala hon.
Jis kay bad ap ko clear ho jaye ga kay paisa kaisa kamana whatsapp ko use kar kay. Lakin ap ko mein ya recommend karo ga. Kay ap wo way select karna jo ap easily adopt kar sako or apnay leya earnings generate kar sako.
Whatsapp se paise kaise kamaye pakistan
Whatsapp say paisa kamane kay buhat sary ways ho sakta hai. Lakin mein is article mien ap kay sath most popular or save ways share karo. Jin mien say kisi mein ap ki investment ho gi. Kisi mein ap ko investment nahi chahy.
Whatsapp se paisa kamane kay tarika
- Affiliate marketing
- Online teaching
- Apny Products
Ya most popular ways hai jin ko ap use kar kay whatsapp say paisa kama sakta ho. Ab mein is ways ko ap kay sath detail mein share karta ho. Kay ya sab ways hai kea or is ko ap kaisa use karo gay.
Affiliate Marketing
Affiliate marketing sab say best way hai Whatsapp say paisa kamana ka. Is way mein hota hai kisi be bande kay products commission base par sale karna hota ha. Ab ap nay whatsapp ko is mein is tarah use karna hai.

Agar ap ka koi be dost ya koi be ristaydar koi be cheez chahy ho. To wo ap ko bole to ap nay un ko suggestion dayni hai. Lakin us kay sath sath jo un ko product chahy us ka affiliate link do.
Is say ho ga kay wo bande jis ko ap nay link send kea hai. Jab be wo ap kay link say buy kare ga ap ko commission mile ga. Ab ap kay mind mein question aye ga kay hum kaha say link lay gay. Sab say best plate daraz hai pakistan mein.
Ap nay just daraz par affiliate marketer kay tor par signup karna hai. Jab ap ko approval mil jaye ga. Us kay bad ap daraz par mojod sary products ke affiliate marketing kar sakta ho.
Ap nay tenstion nahi layni ap ko is article mein ya be batu ga kay. Ap ziada say ziada paisa kaisa kamow gay. Keu kay ap ko mein kuch ways batu ga. Jis say ap whatsapp ko use kar kay buhat ziada paisa kama sako gay.
Keu kay sirf daraz nahi ha. Is kay alawa be buhat sary plateforms hain. Jis ki app affiliate marketing kar saktay ho.
Affiliate marketing platforms in pakistan
Pakistan mein har tarah kay product kay related affiliate programs mojod hain. Chahay wo koi be software ho, course ho, online tool ho, ya phir physical products ho.
- Daraz
- Cj
- Udemy
- Amazon
- Clickbank
- JVzoo
- Impact
- Alibaba
- Shopify
- IDM Pakistan
Is mein say ap kisi be platform apr signup karo. Us kay bad jab ap ko approval mil jata hai. To ap in mein say links ko ap share karo whatsapp par apny contacts ko. Jab wo ap kay links say buy kare ap ko commission mile ga.
Akhir mein me yahi kaho ga kay ap nay is method main agar ap nay time deya. To ya sab say best method hai online earning kar. Is method say ap sirf whatsapp say nahi balkay buhat bary level par kar saktay ho affiliate marketing ko. Just ap start whatsapp say lo or sath sath seakhty jow.
Online Teaching
Online teaching dosra sab say best or free method hai. Jis ko use kar kay ap whatsap say paisa kama sakta ho. Lakin is kay leya kuch requirements hoti hai. Jo ap ko pori karni hai, sab say pehli cheez ap kisi skill ya kisi be subject kay master hona chahy.

Us kay bad ap ko kuch experience hona chahy parhany ka. Agar ap ko experience nahi ha tab be kam chal jaye ga.
Just ap nay apni kuch marketing karni pary ge start mein kuch students kay leya. Start mein jab ap kay pass students a gay. To us kay bad ap ko word to mouth he students milte jaye gay. Ap nay un ko online whatsapp par classes dayni ho ge.
Yaha par ap kay irdkird institues mein ja kay woha say marketing start kar sakta hain. Ya pahir ap kay ghar kay kareeb jo be bache hai ap un say be shoro kar sakta hai.
Apne Products Sale kar kay
Third way be acha ha is way ki madad say ap sirf whatsapp say paisa nahi kamow gay. Us kay sath sath agar ap in way par full focus kare. To ap is way apna pora ka pora online business khara kar sakta ho.

Basically is mein ap kay pass kuch products hone chahy. Jin ko ap sale kar sako. Agar ap ki koi shop hai apny local area mein. To time a gya hai us ko online lany ka. Or ap start whatsapp say kar sakta ho.
Just ap nay karna kea hai kay jo be ap kay pass products pare hai. Ap un ki pictures lay kar apne whatsapp kay logo ko send karo gay. Jo be clothes buy karna chahty ho.
Lakin agar ap ki shop nahi ha, To ap wholesale market say products lay sakta ho. Jisa kay Lahore whole sale market buhat ziada hai. Har cheez ki clothes, shoes, mobiles. Isi tarah ap sab say pehle deakh lo.
Kay kis type ki product ap nay sale karni hai. Jab ap ko decide ho jaye us kay bad jow or usi wholesale market say buy kar kay. Un products ko sale karna start kar do.
Ya kuch ways hai jin ki madad say whatsapp ko use kar kay us say paisa kama sakta ho. Lakin sirf ya he way nahi hai. In kay alawa be buhat sary ways hai. Lakin sab ways mein ap kay pass links hony chahy. Groups hony chahy, contact list honi chahy. Jo ap ko agy batatne wala ho kaisa build karni hai.
Contact List Kaisa banaye
Jab baat karte hai contact list ki to har bande kay pass koi be ziada logo kay contact nahi hotay. Hardly koi banda ho ga jis kay 100 say upar contacts ho gay. WO be shahid wo banda kisi be company mein kam karta ho.
Ya phir us ki halke phulki PR ho gi, Jis ki waja say us kay pass itna number ho gay. Lakin agar ap kay pass contacts itna be nahi hai.
To ap is method ko follow karo ap kay kuch he dino mein buhat ziada contacts ban jaye gay. Sab say pehla way ha social media marketing. Ap social media par ads run karo in mein say koi be way select kar kay.
Masal kay tor par ap nay affiliate marketing karni hai. To ap ek product select kar kay us par ads run karo RS 1000 tak kay. Or number do apne whatsapp ka takay. Jo be banda us product mein interested ho wo ap ko message kare whatsapp par. Jis say ap ki list banani shoro ho jaye ge.
Is method mein ap ka contact list be banany ge. Or ap ki social media marketing ki skill be a jaye ge.
Conclusion
Whatsapp ek messaging platform hai. Wo ap ko directly pay nahi karta lakin ap us ko use kar kay paisa kama sakta ho. Jo method mein nay ap kay sath share kar deya hain. Affiliate marketing, Online teaching, own products.
Ya ways hai sab say best of free, Jin ko ap begair paso kay shoro kar saktay ho. Start ap is ways say lo or whatsapp ko use karo. Us kay sath sath ap in ways ko internet par azmo. Jis say ap ka kuch time kay bad online business build ho jaye ga.
Yaha par ap ko mein ek tip dayna chaho ga kay ap online kam seakho. Kay blogging kya hai, Freelancing kaisa karte hai. Ya sab ways seakho or original ways say fast paisa kamo. Keu kay online industry mein buhat ziada paisa hai.
Mein umeed karta hon kay ap ko smajh a gai ho ge kay whatsapp say paisa kaisa kamane hai. Bas ab mein is article ko wrapup karta hon.
Thanks for reading.
Regards,
DH Founder of MoneySiren

My name is DH and I am from Pakistan. I have 5 years of experience in digital marketing and SEO. I have done similar types of work on my blog and also for other clients. Now I make Money siren. A blog Where you learn how to make money online.